mohabbat
mohabbat kaifiyat hai
visāl aur hijr se lafzoñ ke dāman meñ ye puurī aa nahīñ saktī
maiñ kahtā huuñ visāl
aur hoñT bhī ik dūsre se mas nahīñ hote
maiñ kitnā hijr likhūñ lafz to joḌe hī jaate haiñ
jo tujh meñ aur mujh meñ hai
vo duurī aa nahīñ saktī
mohabbat kaifiyat hai
visal aur hijr se lafzon ke daman mein ye puri aa nahin sakti
main kahta hun visal
aur honT bhi ek dusre se mas nahin hote
main kitna hijr likhun lafz to joDe hi jate hain
jo tujh mein aur mujh mein hai
wo duri aa nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.