mohabbat sāz-e-hastī hai
faqat dil meñ jo bastī hai
mohabbat zabt hai paiham
mohabbat hai diloñ kā mail
mohabbat jāvedānī hai
mohabbat hai duā jaisī
uThā kar haath jab koī
ḳhud apne yaar ko māñge
ḳhudā se pyaar ko māñge
yahī iz.hār ho dil kā
mohabbat ik ināyat hai
ibādat bhī mohabbat hai
mohabbat chhāñv jaisī hai
mohabbat maaoñ jaisī hai
mohabbat ism-e-āzam hai
mohabbat hī to zamzam hai
mohabbat dil kā sajda hai
mohabbat to parastish hai
mohabbat ik ibādat hai
mohabbat gard-e-chāhat hai
mohabbat ik vazīfa hai
mere rab kā sahīfa hai
mohabbat gahre bādal sī
mohabbat maañ ke āñchal sī
mohabbat nuur hai dil kā
mohabbat saz-e-hasti hai
faqat dil mein jo basti hai
mohabbat zabt hai paiham
mohabbat hai dilon ka mail
mohabbat jawedani hai
mohabbat hai dua jaisi
uTha kar hath jab koi
KHud apne yar ko mange
KHuda se pyar ko mange
yahi izhaar ho dil ka
mohabbat ek inayat hai
ibaadat bhi mohabbat hai
mohabbat chhanw jaisi hai
mohabbat maon jaisi hai
mohabbat ism-e-azam hai
mohabbat hi to zamzam hai
mohabbat dil ka sajda hai
mohabbat to parastish hai
mohabbat ek ibaadat hai
mohabbat gard-e-chahat hai
mohabbat ek wazifa hai
mere rab ka sahifa hai
mohabbat gahre baadal si
mohabbat man ke aanchal si
mohabbat nur hai dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.