mohabbat
nazar ke tiir se ik dard sā uThtā hai siine meñ
phir is ke baa'd se hī sab kā jī lagtā hai jiine meñ
ye aisā dard hai jo din-ba-din baḌhtā hī jaatā hai
chaḌhe dariyā mohabbat kā to bas chaḌhtā hī jaatā hai
mohabbat jis meñ rahtī hai vo man mailā nahīñ hotā
ki jaise chāñdnī chhū le to tan mailā nahīñ hotā
isī ḳhushbū ko le ke raat kī raanī mahaktī hai
mohabbat chuum le jis ko vo peshānī mahaktī hai
ye hindū hai na muslim hai mohabbat sikh na īsā.ī
jidhar se jab bhī ye guzrī to har ghar meñ bahār aa.ī
jahāñ meñ sab se ūñchā ik mohabbat kā shivāla hai
jahāñ dekho jidhar dekho usī kā bol-bālā hai
mohabbat kā ye pahlū bhī zarā sā ġhaur farmā.eñ
agar unvān achchhā ho to ham kuchh aur farmā.eñ
mohabbat hai mubārakbād ke laa.eq to āḳhir kyoñ
jo sachchī baat hai us ko zabāñ kahne se qāsir kyoñ
magar ye baat bhī mahbūb ke lahje meñ bhātī hai
mujhe tum se mohabbat hai ye kahte sharm aatī hai
'suman' is dard ko in.ām-e-yazdānī samajhtī hai
aur is ehsās ko ehsās-e-lā-sānī samajhtī hai
nazar ke tir se ek dard sa uThta hai sine mein
phir is ke ba'd se hi sab ka ji lagta hai jine mein
ye aisa dard hai jo din-ba-din baDhta hi jata hai
chaDhe dariya mohabbat ka to bas chaDhta hi jata hai
mohabbat jis mein rahti hai wo man maila nahin hota
ki jaise chandni chhu le to tan maila nahin hota
isi KHushbu ko le ke raat ki rani mahakti hai
mohabbat chum le jis ko wo peshani mahakti hai
ye hindu hai na muslim hai mohabbat sikh na isai
jidhar se jab bhi ye guzri to har ghar mein bahaar aai
jahan mein sab se uncha ek mohabbat ka shiwala hai
jahan dekho jidhar dekho usi ka bol-baala hai
mohabbat ka ye pahlu bhi zara sa ghaur farmaen
agar unwan achchha ho to hum kuchh aur farmaen
mohabbat hai mubarakbaad ke laeq to aaKHir kyon
jo sachchi baat hai us ko zaban kahne se qasir kyon
magar ye baat bhi mahbub ke lahje mein bhati hai
mujhe tum se mohabbat hai ye kahte sharm aati hai
'suman' is dard ko inam-e-yazdani samajhti hai
aur is ehsas ko ehsas-e-la-sani samajhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.