mohabbat ne ‘urusi-malbus tabdil kar liya hai
mohabbat ne ‘urūsī-malbūs tabdīl kar liyā hai
ab vo geruī-rangat kī hijr bharī raat oḌhegī
lekin kahkashāñ apne pallū se bāñdhe rakhegī
us kī āvāz sharāb-e-tanhā.ī ke jaam
kā.enāt ke ek sire se
dūsre kināre tak chhalkā.egī
tumhārī be-mehr āñkheñ duur kisī sayyāre par rah ga.ī haiñ
sitāre us ne apne saa.e se ḳhud tarāshe haiñ
use ab apnī raushnī meñ chalnā aa gayā hai
mohabbat ne ‘urusi-malbus tabdil kar liya hai
ab wo gerui-rangat ki hijr bhari raat oDhegi
lekin kahkashan apne pallu se bandhe rakhegi
us ki aawaz sharab-e-tanhai ke jam
kaenat ke ek sire se
dusre kinare tak chhalkaegi
tumhaari be-mehr aankhen dur kisi sayyare par rah gai hain
sitare us ne apne sae se KHud tarashe hain
use ab apni raushni mein chalna aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.