zamīñ se āsmānoñ tak
dhanak ke rang bikhre haiñ
jhalakte surma.ī manzar
mirī āñkhoñ meñ utre haiñ
yahāñ jo rang dikhtā hai
ka.ī rangoñ kā mehvar hai
mohabbat nīlgūñ chādar
mohabbat husn kā sāgar
mohabbat chashma-e-āb-e-baqā Thahrā
mohabbat ik sahīfa hai
mohabbat ik salīqa hai
mohabbat saaz hai dil kā
mohabbat raag sāhil kā
mohabbat rang manzil kā
mohabbat joḌtī hai dil
mohabbat toḌtī hai dil
mohabbat dil-nashīñ naġhme sunātī hai
mohabbat jāvedānī hai
mohabbat raushnī hai isti'āra hai
mohabbat meñ hamesha dard haarā hai
zamin se aasmanon tak
dhanak ke rang bikhre hain
jhalakte surmai manzar
meri aankhon mein utre hain
yahan jo rang dikhta hai
kai rangon ka mehwar hai
mohabbat nilgun chadar
mohabbat husn ka sagar
mohabbat chashma-e-ab-e-baqa Thahra
mohabbat ek sahifa hai
mohabbat ek saliqa hai
mohabbat saz hai dil ka
mohabbat rag sahil ka
mohabbat rang manzil ka
mohabbat joDti hai dil
mohabbat toDti hai dil
mohabbat dil-nashin naghme sunati hai
mohabbat jawedani hai
mohabbat raushni hai isti'ara hai
mohabbat mein hamesha dard haara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.