zamāna is kī ḳhvāhish meñ azal se chuur hai jānāñ
mohabbat nuur hai jānāñ
mohabbat nuur hai jānāñ
ruḳh-e-mahtāb se raushan nigār-e-ḳhvāb se raushan
nazar meñ khulne vaale sabza-e-shādāb se raushan
sitāroñ se kahīñ baḌh kar chamak is ke jilau meñ hai
jo āb-o-tāb hai is meñ kahāñ sūraj kī zau meñ hai
ye naḳhl-e-ishq par jaise vafā kā baur hai jānāñ
mohabbat nuur hai jānāñ
mohabbat nuur hai jānāñ
ye jis dil meñ utar jaa.e use ma.amūr kar jaa.e
sarāpā rañg kar jaa.e tamannāoñ se bhar jaa.e
ye aisā kaif hai jo har qadam par zindagī pur-nūr kartā hai
utar kar ruuh meñ is ke añdhere duur kartā hai
ye vo ehsās hai jo har ghaḌī bharpūr hai jānāñ
mohabbat nuur hai jānāñ
mohabbat nuur hai jānāñ
zamana is ki KHwahish mein azal se chur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
ruKH-e-mahtab se raushan nigar-e-KHwab se raushan
nazar mein khulne wale sabza-e-shadab se raushan
sitaron se kahin baDh kar chamak is ke jilau mein hai
jo aab-o-tab hai is mein kahan suraj ki zau mein hai
ye naKHl-e-ishq par jaise wafa ka baur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
ye jis dil mein utar jae use mamur kar jae
sarapa rang kar jae tamannaon se bhar jae
ye aisa kaif hai jo har qadam par zindagi pur-nur karta hai
utar kar ruh mein is ke andhere dur karta hai
ye wo ehsas hai jo har ghaDi bharpur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
mohabbat nur hai jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.