mohabbat par yaqin tha jab
maiñ zinda huuñ
tavānā.ī
mirī rag rag meñ bahtī hai
maiñ jab chāhūñ
zarā sā haath uThā kar āsmāñ chhū luuñ
fazā meñ tairtī jā.ūñ
sabā har sub.h dilkash raqs kartī hai mirī ḳhātir
shafaq har shaam sajtī hai ki maiñ us par nazar Dālūñ
sitāre aañkh rakhte haiñ mire abrū kī jumbish par
ishāra ho to sab ke sab mire āñchal pe aa jaa.eñ
maiñ sargoshī karūñ to zindagī mas.hūr ho jaa.e
zarā nazreñ uThā.ūñ vaqt kī raftār tham jaa.e
maiñ hañstī huuñ
harī shāḳhoñ pe khilte surḳh phūloñ meñ
mire aañsū
sunahrī tashtarī meñ pesh hote haiñ
ḳhudā.ī bārgāhoñ meñ
huzūrī kā sharaf miltā hai merī sab duāoñ ko
kabhī
mahsūs hotā thā
main zinda hun
tawanai
meri rag rag mein bahti hai
main jab chahun
zara sa hath uTha kar aasman chhu lun
faza mein tairti jaun
saba har subh dilkash raqs karti hai meri KHatir
shafaq har sham sajti hai ki main us par nazar Dalun
sitare aankh rakhte hain mere abru ki jumbish par
ishaara ho to sab ke sab mere aanchal pe aa jaen
main sargoshi karun to zindagi mashur ho jae
zara nazren uThaun waqt ki raftar tham jae
main hansti hun
hari shaKHon pe khilte surKH phulon mein
mere aansu
sunahri tashtari mein pesh hote hain
KHudai bargahon mein
huzuri ka sharaf milta hai meri sab duaon ko
kabhi
mahsus hota tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.