mohabbat se Khaali dinon mein tumhaare liye ek nazm
havelī kī dīvāroñ pe
kaa.ī chaḌh aa.ī
sarmā ke sūraj ko
gahan khā gayā
purāne darvāzoñ ko dīmak
aur mujhe
tumhārī ḳhāmoshī ne chaaT liyā
mohabbat se ḳhālī zindagī kā
koī rang nahīñ hotā
tum use koī bhī libās pahnā sakte ho
us beva kā bhī
jo satī hote hote rah ga.ī
us mātamī kā bhī
jo ziyāda ḳhuun bahne se halāk ho gayā
dhuup meñ barastā bādal
june kā chāñd
aur
yak-tarfa mohabbat
bārish meñ bahte
un āñsuoñ kī tarah
be-zā.iqa hote haiñ
jin kā lams ruḳhsāroñ ko bhī mahsūs nahīñ hotā
tum agle safar pe niklo
to kisī jazīre kī ḳhāmushī meñ
un rā.egāñ jaatī lahroñ ko ginnā
jo tumhāre paañv na chhū sakeñ
ye nazmeñ bhī
un lahroñ jaisī haiñ
jo kisī patthar se Takrāte Takrāte
merī poroñ kā sartān ban ga.iiñ
haweli ki diwaron pe
kai chaDh aai
sarma ke suraj ko
gahan kha gaya
purane darwazon ko dimak
aur mujhe
tumhaari KHamoshi ne chaT liya
mohabbat se KHali zindagi ka
koi rang nahin hota
tum use koi bhi libas pahna sakte ho
us bewa ka bhi
jo sati hote hote rah gai
us matami ka bhi
jo ziyaada KHun bahne se halak ho gaya
dhup mein barasta baadal
june ka chand
aur
yak-tarfa mohabbat
barish mein bahte
un aansuon ki tarah
be-zaiqa hote hain
jin ka lams ruKHsaron ko bhi mahsus nahin hota
tum agle safar pe niklo
to kisi jazire ki KHamushi mein
un raegan jati lahron ko ginna
jo tumhaare panw na chhu saken
ye nazmen bhi
un lahron jaisi hain
jo kisi patthar se Takraate Takraate
meri poron ka sartan ban gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.