mohabbat
tirī mohabbat ne mere hamdam
kiyā hai kuchh mujh pe aisā jaadū
na din ko hai chain tere bin kuchh
na mujh ko rātoñ ko niiñd aa.e
mirī nazar meñ tū hī basī hai
ḳhayāl terā har ik ghaḌī hai
fazā meñ ḳhushbū tire badan kī
ki jaise bulbul hai tū chaman kī
basā hai nazroñ meñ terā jalva
hai har ghaḌī bas ḳhayāl terā
bahār-e-gulshan meñ tujh se rangat
chaman meñ hai sab ye terī nik.hat
guloñ meñ dekhūñ shajar meñ dekhūñ
tujhe hī shām-o-sahar meñ dekhūñ
hai tujh se ai yaar dil ko chāhat
qubūl kar le mirī mohabbat
na uljhanoñ meñ tū Daal mujh ko
maiñ gir na jā.ūñ sañbhāl mujh ko
hai mere dil kī yahī tamanna
tū saath mere rahe hamesha
to zindagī meñ bahār aa.e
dil-e-hazīñ ko qarār aa.e
teri mohabbat ne mere hamdam
kiya hai kuchh mujh pe aisa jadu
na din ko hai chain tere bin kuchh
na mujh ko raaton ko nind aae
meri nazar mein tu hi basi hai
KHayal tera har ek ghaDi hai
faza mein KHushbu tere badan ki
ki jaise bulbul hai tu chaman ki
basa hai nazron mein tera jalwa
hai har ghaDi bas KHayal tera
bahaar-e-gulshan mein tujh se rangat
chaman mein hai sab ye teri nikhat
gulon mein dekhun shajar mein dekhun
tujhe hi sham-o-sahar mein dekhun
hai tujh se ai yar dil ko chahat
qubul kar le meri mohabbat
na uljhanon mein tu Dal mujh ko
main gir na jaun sanbhaal mujh ko
hai mere dil ki yahi tamanna
tu sath mere rahe hamesha
to zindagi mein bahaar aae
dil-e-hazin ko qarar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.