mohabbat
tumheñ july kī unnīsvīñ taptī jhulastī dopahar ab yaad kab hogī
ki jis kī hiddateñ kitne mahīnoñ ba.ad tak
ham ne badan ke har darīche par likhī mahsūs kī thiiñ
aur unheñ nazmeñ samajh kar gungunāyā thā
tumhāre jism kī pagDanDiyoñ par chalte chalte ek aisā moḌ aayā thā
jahāñ auhām ilhāmī nazar aate haiñ
aur imkān nākāmī mohabbat zabt āvāzeñ samundar dard ban jaate haiñ
saare ḳhvāb palkoñ kī harī shāḳhoñ se jhūle lene lagte haiñ
simaT aate haiñ saare hijr āñkhoñ meñ
vahīñ us moḌ par pahlī dafa maiñ ne ye samjhā
ruuh mādda hai
ki is kī ik kamīyyat hai hajm hai bojh rakhtī hai
aur us kā bhī badan hotā hai
jis meñ nanhe nanhe ā.īne yāqūt ke mānind bante aur bigaḌte haiñ
tumheñ kab yaad hogā
TūTte kamzor lamhoñ ke ye bandhan kis qadar mazbūt hote haiñ
ki ab maiñ har baras july kī unnīsvīñ taptī jhulastī dopahar meñ
ḳhvāb jugnū aur sitāre apnī āñkhoñ par rakhe mahsūs kartā huuñ
tumheñ chhūtā huuñ palkoñ se
havā meñ uñgliyāñ bhar kar
tumhāre kaan se sargoshiyāñ karte hue bāloñ ko
ik tamhīd detā huuñ
nigāh-e-ḳhvāb-ālūda ke bosoñ se
tumhāre jism kī saarī safoñ par lafz rakhtā huuñ
tumheñ bhartā huuñ bāñhoñ meñ
tumhārī yād-e-rafta se vahī lamha uThā kar vaqt ko sākit banātā huuñ
to phir vo moḌ aatā hai
jahāñ auhām ilhāmī nazar aate haiñ
aur ik nazm kī taḳhlīq hotī hai
tumhein july ki unniswin tapti jhulasti dopahar ab yaad kab hogi
ki jis ki hiddaten kitne mahinon baad tak
hum ne badan ke har dariche par likhi mahsus ki thin
aur unhen nazmen samajh kar gungunaya tha
tumhaare jism ki pagDanDiyon par chalte chalte ek aisa moD aaya tha
jahan auham ilhami nazar aate hain
aur imkan nakaami mohabbat zabt aawazen samundar dard ban jate hain
sare KHwab palkon ki hari shaKHon se jhule lene lagte hain
simaT aate hain sare hijr aankhon mein
wahin us moD par pahli dafa main ne ye samjha
ruh madda hai
ki is ki ek kamiyyat hai hajm hai bojh rakhti hai
aur us ka bhi badan hota hai
jis mein nanhe nanhe aaine yaqut ke manind bante aur bigaDte hain
tumhein kab yaad hoga
TuTte kamzor lamhon ke ye bandhan kis qadar mazbut hote hain
ki ab main har baras july ki unniswin tapti jhulasti dopahar mein
KHwab jugnu aur sitare apni aankhon par rakhe mahsus karta hun
tumhein chhuta hun palkon se
hawa mein ungliyan bhar kar
tumhaare kan se sargoshiyan karte hue baalon ko
ek tamhid deta hun
nigah-e-KHwab-aluda ke boson se
tumhaare jism ki sari safon par lafz rakhta hun
tumhein bharta hun banhon mein
tumhaari yaad-e-rafta se wahi lamha uTha kar waqt ko sakit banata hun
to phir wo moD aata hai
jahan auham ilhami nazar aate hain
aur ek nazm ki taKHliq hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.