mohabbat
vo phuul hai kaise maan luuñ maiñ
ki phuul kā rañg hai ramīda
ġhalat hai us ko bahār kahnā
bahār to hai ḳhizāñ-gazīda
vo kahkashāñ hai maiñ kaise kah duuñ
ki kahkashāñ to rahīn-e-shab hai
maiñ mutma.in chāñd se nahīñ huuñ
ki chāñd ko bhī davām kab hai
hai roz-e-raushan bhī tīra-qismat
ye raaz vaqt-e-ġhurūb jaanā
maiñ kaise sūraj samajh luuñ us ko
nasīb sūraj kā Duub jaanā
sabā se us ko misāl de duuñ
to ye jasārat-e-javāz chāhe
sabā to kaliyoñ ko zindagī de
chaman ke kāñToñ ko bhuul jaa.e
vo yuuñ nahīñ naġhma hasīñ bhī
ki naġhma naġhma-navāz tak hai
vo saaz hogā to kaise hogā
ki saaz tarkīb-e-sāz tak hai
jo raunaq-e-bazm pur-kashish thī
vo sub.h hote dhuāñ dhuāñ hai
yaqīñ hai vo sham.a bhī nahīñ hai
ki sham.a ik shab kī dāstāñ hai
agar kahūñ hai vo sabz patta
to dhyān meñ ḳhushk Daal aa.e
daraḳht kahnā fuzūl hogā
rutoñ kā mujh ko ḳhayāl aa.e
kahūñ use hai vo arsh-qudsī
to baat phir bhī bajā nahīñ hai
zamīn vāloñ kī dastaras meñ
farāz-e-arsh-e-ulā nahīñ hai
kahāñ ye qatra misāl-e-dariyā
kahāñ mirī manzil-e-talab hai
use samundar qarār detā
magar samundar to pur-ġhazab hai
use maiñ bādal kā naam detā
magar ye bādal hai kaisā bādal
tamām sahrā taras rahā hai
magar kahīñ aur barsā bādal
maiñ is ko Thahrā.ūñ rāz-e-pinhāñ
to zehn kī hai ye nā-rasā.ī
hazār fikr-o-nazar ne chāhā
samajh meñ phir bhī na baat aa.ī
agar kahūñ maiñ vo aadmī hai
to kam-nigāhī ke zaḳhm khā.ūñ
farishte aadam pe mo'tariz the
use farishta bhī kah na paañv
kahūñ maiñ insāñ bilā-tāmmul
magar hai insān kā to saaya
dayār-e-sidra kī manziloñ se
na koī insāñ guzar ke aayā
vo sāz-e-kirdār bhī haiñ kamtar
hai zikr jin kā kahāniyoñ meñ
kañval se us kī misāl kaisī
kañval tū khiltā hai pāniyoñ meñ
kitāb kah kar samajhnā chāhūñ
to aql ye baat bhī na maane
hikāyatoñ se dalīl lā.ūñ
to sochūñ qisse maiñ sab purāne
agar kahūñ hai vo lauh-o-kursī
to baat phir bhī nahīñ hai jachtī
maiñ jis se us ko misāl detā
koī to aisī misāl bachtī
kabhī kabhī yuuñ bhī sochtā huuñ
ḳhudā nahīñ par ḳhudā.ī us kī
kabhī kabhī yuuñ bhī sochtā huuñ
ye had nahīñ intihā.ī us kī
na us kā ham-sar na us kā saaya
vo nuur vaalā vo taaj vaalā
hai nabz-e-daurāñ pe haath us kā
vo kal kā mālik vo aaj vaalā
vo kaun hai us kī intihā kyā
ḳhudā hī samjhe ḳhudā hī jaane
ġharīb-o-ḳhasta magar usī ko
davā bhī samjhe duā hī jaane
murād jis kī hai jo bhī apnī
huzūr rabb-e-jalīl māñge
'sa.īd' lekin usī ko chāhūñ
jise duā-e-ḳhalīl māñge
wo phul hai kaise man lun main
ki phul ka rang hai ramida
ghalat hai us ko bahaar kahna
bahaar to hai KHizan-gazida
wo kahkashan hai main kaise kah dun
ki kahkashan to rahin-e-shab hai
main mutmain chand se nahin hun
ki chand ko bhi dawam kab hai
hai roz-e-raushan bhi tira-qismat
ye raaz waqt-e-ghurub jaana
main kaise suraj samajh lun us ko
nasib suraj ka Dub jaana
saba se us ko misal de dun
to ye jasarat-e-jawaz chahe
saba to kaliyon ko zindagi de
chaman ke kanTon ko bhul jae
wo yun nahin naghma hasin bhi
ki naghma naghma-nawaz tak hai
wo saz hoga to kaise hoga
ki saz tarkib-e-saz tak hai
jo raunaq-e-bazm pur-kashish thi
wo subh hote dhuan dhuan hai
yaqin hai wo shama bhi nahin hai
ki shama ek shab ki dastan hai
agar kahun hai wo sabz patta
to dhyan mein KHushk Dal aae
daraKHt kahna fuzul hoga
ruton ka mujh ko KHayal aae
kahun use hai wo arsh-qudsi
to baat phir bhi baja nahin hai
zamin walon ki dastaras mein
faraaz-e-arsh-e-ula nahin hai
kahan ye qatra misal-e-dariya
kahan meri manzil-e-talab hai
use samundar qarar deta
magar samundar to pur-ghazab hai
use main baadal ka nam deta
magar ye baadal hai kaisa baadal
tamam sahra taras raha hai
magar kahin aur barsa baadal
main is ko Thahraun raaz-e-pinhan
to zehn ki hai ye na-rasai
hazar fikr-o-nazar ne chaha
samajh mein phir bhi na baat aai
agar kahun main wo aadmi hai
to kam-nigahi ke zaKHm khaun
farishte aadam pe mo'tariz the
use farishta bhi kah na panw
kahun main insan bila-tammul
magar hai insan ka to saya
dayar-e-sidra ki manzilon se
na koi insan guzar ke aaya
wo saz-e-kirdar bhi hain kamtar
hai zikr jin ka kahaniyon mein
kanwal se us ki misal kaisi
kanwal tu khilta hai paniyon mein
kitab kah kar samajhna chahun
to aql ye baat bhi na mane
hikayaton se dalil laun
to sochun qisse main sab purane
agar kahun hai wo lauh-o-kursi
to baat phir bhi nahin hai jachti
main jis se us ko misal deta
koi to aisi misal bachti
kabhi kabhi yun bhi sochta hun
KHuda nahin par KHudai us ki
kabhi kabhi yun bhi sochta hun
ye had nahin intihai us ki
na us ka ham-sar na us ka saya
wo nur wala wo taj wala
hai nabz-e-dauran pe hath us ka
wo kal ka malik wo aaj wala
wo kaun hai us ki intiha kya
KHuda hi samjhe KHuda hi jaane
gharib-o-KHasta magar usi ko
dawa bhi samjhe dua hi jaane
murad jis ki hai jo bhi apni
huzur rabb-e-jalil mange
'said' lekin usi ko chahun
jise dua-e-KHalil mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.