mohabbat ye adhuri hai
vo ik dīvāna sā laḌkā
kisī se pyaar kar baiThā
nahīñ sochā kabhī us ne
kisī kī vo amānat hai
kisī ke ghar kī izzat hai
samajhtā kyuuñ nahīñ hai vo
nahīñ mumkin ye chāhat hai
ye rasmoñ se baġhāvat hai
vo apnā dil dukhātā hai
use pahroñ manātā hai
parastish us kī kartā hai
usī ko pyaar kartā hai
usī ko sochtā hai kyuuñ
usī ko chāhtā hai kyuuñ
vo ye kartā hai nādānī
kisī kī us ne kab maanī
vo jis kā paak dāmāñ hai
pareshāñ hai vo hairāñ hai
vo bebas kah nahīñ paatī
tirā dukh sah nahīñ paatī
kisī kī raah meñ kāñTe
kabhī vo bo nahīñ saktī
bas itnā tum samajh lenā
vo terī ho nahīñ saktī
wo ek diwana sa laDka
kisi se pyar kar baiTha
nahin socha kabhi us ne
kisi ki wo amanat hai
kisi ke ghar ki izzat hai
samajhta kyun nahin hai wo
nahin mumkin ye chahat hai
ye rasmon se baghawat hai
wo apna dil dukhata hai
use pahron manata hai
parastish us ki karta hai
usi ko pyar karta hai
usi ko sochta hai kyun
usi ko chahta hai kyun
wo ye karta hai nadani
kisi ki us ne kab mani
wo jis ka pak daman hai
pareshan hai wo hairan hai
wo bebas kah nahin pati
tera dukh sah nahin pati
kisi ki rah mein kanTe
kabhi wo bo nahin sakti
bas itna tum samajh lena
wo teri ho nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.