mohabbaton ka ye tur-e-sina
suno musāfir
ye dil sahīfa sahī magar is pe chāhatoñ kī
koī kahānī raqam na hogī
ki chāhatoñ kī har ik kahānī udaas āñkhoñ se jhāñktī hai
udaas chehroñ pe hī raqam hai
so merī maano to dil sahīfe ko guzre vaqtoñ kī dāstānoñ se hī sajāo
ye dil kī zarḳhez jo zamīñ hai
tum us pe ḳhushiyoñ ke rañg kā.dho
use gulāboñ se hī sajāo
suno musāfir
mohabbatoñ kā ye tūr-e-sīnā
bhaTakte rahne kā rāsta hai
bahut bulandī pe jaane vāloñ ko manziloñ kī ḳhabar nahīñ hai
ka.ī musāfir bhaTak chuke haiñ
ki un ko raste jhaTak chuke haiñ
har ik musāfir ke rāste meñ na koī jannat na koī dozaḳh
agar milā bhī kisī ko kuchh to
milā hai bas hijr kā hī barzaḳh
haañ kuchh musāfir jo tūr-e-sīnā kī ishq-manzil pe jā ke Thahre
unheñ bhī māyūsiyāñ milī thiiñ
unheñ tajallī nahīñ milī thī
koī tasallī nahīñ milī thī
so vo mohabbat kī āyatoñ ke baġhair lauTe
ināyatoñ ke baġhair lauTe
so ai musāfir
mirī jo maano to lauT aao
ye dil sahīfa sahī magar
us pe chāhatoñ kī koī kahānī raqam na hogī
suno musafir
ye dil sahifa sahi magar is pe chahaton ki
koi kahani raqam na hogi
ki chahaton ki har ek kahani udas aankhon se jhankti hai
udas chehron pe hi raqam hai
so meri mano to dil sahife ko guzre waqton ki dastanon se hi sajao
ye dil ki zarKHez jo zamin hai
tum us pe KHushiyon ke rang kadho
use gulabon se hi sajao
suno musafir
mohabbaton ka ye tur-e-sina
bhaTakte rahne ka rasta hai
bahut bulandi pe jaane walon ko manzilon ki KHabar nahin hai
kai musafir bhaTak chuke hain
ki un ko raste jhaTak chuke hain
har ek musafir ke raste mein na koi jannat na koi dozaKH
agar mila bhi kisi ko kuchh to
mila hai bas hijr ka hi barzaKH
han kuchh musafir jo tur-e-sina ki ishq-manzil pe ja ke Thahre
unhen bhi mayusiyan mili thin
unhen tajalli nahin mili thi
koi tasalli nahin mili thi
so wo mohabbat ki aayaton ke baghair lauTe
inayaton ke baghair lauTe
so ai musafir
meri jo mano to lauT aao
ye dil sahifa sahi magar
us pe chahaton ki koi kahani raqam na hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.