janam din
saal meñ ik baar aatā hai
aate hī mujh se kahtā hai
''kaise ho
achchhe to ho
laao is baat pe cake khilāo
raat ke khāne meñ kyā hai
aur kaho kyā chaltā hai''
phir idhar udhar kī bāteñ kartā rahtā hai
phir ghaḌī dekh ke kahtā hai
''achchhā to maiñ jaatā huuñ
pyāre ab maiñ
ek saal ke baa'd ā.ūñgā
cake banā ke rakhnā
saath meñ machhlī bhī khā.uñgā''
aur chalā jaatā hai!
us se mil kar
thoḌī der mazā aatā hai!
lekin phir maiñ sochtā huuñ
ḳhaas mazā to tab aa.egā
jab vo aa kar
mujh ko DhūñDhtā rah jā.egā!!
sal mein ek bar aata hai
aate hi mujh se kahta hai
kaise ho
achchhe to ho
lao is baat pe cake khilao
raat ke khane mein kya hai
aur kaho kya chalta hai
phir idhar udhar ki baaten karta rahta hai
phir ghaDi dekh ke kahta hai
achchha to main jata hun
pyare ab main
ek sal ke ba'd aaunga
cake bana ke rakhna
sath mein machhli bhi khaunga
aur chala jata hai!
us se mil kar
thoDi der maza aata hai!
lekin phir main sochta hun
KHas maza to tab aaega
jab wo aa kar
mujh ko DhunDhta rah jaega!!
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 163)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.