mohammad ka aaKHiri KHutba
Interesting Fact
This Nazm is inspired from Aslam Ansari's renowned Nazm 'Tamam Dukh hai'
mire azīzo
zamān-e-hāzir ke muntaḳhab be-misāl logo
mirī tarīqat pe chalne vaalo
mirī ma.ayyat meñ jis guzargāh par chale ho
bahut kaThin thī
qadam qadam par na.e havādis
tumhāre sach kā ḳhirāj lene
tumhārī rah meñ khaḌe hue the
zavāl-āmāda log
tum se uruuj kī is ghaḌī meñ
aa aa ke pūchhte the
ki jalte sūraj tale aqīde kī chhāñv kab tak javāñ rahegī
ye jāñ-kanī kā azaab kitne baras sahoge
vo be-ḳhabar the
ki jo bhī is raah par chalā hai
vo jabr kī āhanī fasīloñ ko
sang-e-manzil samajh ke baḌhtā chalā gayā hai
jab tumhārā īmān apnī takmīl pā chukā hai
tumhāre andar ke but-kadoñ ke tamām asnām
Dheh chuke haiñ
safar kī saarī sa.ūbatoñ se guzar chuke ho
gavāh rahnā
sadāqatoñ ke amiin logo
gavāh rahnā
ki maiñ ne saarī amānateñ tum ko sauñp dī haiñ
suno
ki ab jo maiñ kah rahā huuñ
yahī vo nusḳha-e-kīmīyā hai
jo zaat ke bandhanoñ se
tum ko rihā.ī degā
tumhāre andar kī sab ḳhalījoñ ko paaT degā
maiñ zindagī kī fasāhatoñ aur balāġhatoñ ko
samajh ke tum se ye kah rahā huuñ
samā.ateñ aur basārteñ qibla-rū karoge
to dekh lenā
basīratoñ ke charāġh
ḳhud hī tumhāre andar ke saare tāqchoñ meñ jal uTheñge
tumheñ ḳhabar hai?
ki zindagī apne zāhirī ḳhadd-o-ḳhāl se kitnī muḳhtalif hai
ki ruuh ke pul tale tumhāre vajūd kā aarzī bahāo
baḌī hī sur.at se bah rahā hai
mere azizo
zaman-e-hazir ke muntaKHab be-misal logo
meri tariqat pe chalne walo
meri mayyat mein jis guzargah par chale ho
bahut kaThin thi
qadam qadam par nae hawadis
tumhaare sach ka KHiraj lene
tumhaari rah mein khaDe hue the
zawal-amada log
tum se uruj ki is ghaDi mein
aa aa ke puchhte the
ki jalte suraj tale aqide ki chhanw kab tak jawan rahegi
ye jaan-kani ka azab kitne baras sahoge
wo be-KHabar the
ki jo bhi is rah par chala hai
wo jabr ki aahani fasilon ko
sang-e-manzil samajh ke baDhta chala gaya hai
jab tumhaara iman apni takmil pa chuka hai
tumhaare andar ke but-kadon ke tamam asnam
Dheh chuke hain
safar ki sari saubaton se guzar chuke ho
gawah rahna
sadaqaton ke amin logo
gawah rahna
ki main ne sari amanaten tum ko saunp di hain
suno
ki ab jo main kah raha hun
yahi wo nusKHa-e-kimiya hai
jo zat ke bandhanon se
tum ko rihai dega
tumhaare andar ki sab KHalijon ko paT dega
main zindagi ki fasahaton aur balaghaton ko
samajh ke tum se ye kah raha hun
samaaten aur basarten qibla-ru karoge
to dekh lena
basiraton ke charagh
KHud hi tumhaare andar ke sare taqchon mein jal uThenge
tumhein KHabar hai?
ki zindagi apne zahiri KHadd-o-KHal se kitni muKHtalif hai
ki ruh ke pul tale tumhaare wajud ka aarzi bahao
baDi hi surat se bah raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.