mohlat
abhī Thahro
abhī se is ta.alluq kā koī unvān mat socho
abhī to is kahānī meñ
mohabbat ke adhūre baab kī takmīl hone tak
nazar kī dhuup meñ rakkhe hue ḳhvāboñ ke
saare zā.iqe tabdīl hone tak
bahut se moḌ aane haiñ
mujhe un se guzarne do
zarā mahsūs karne do
ki mere paañv ke nīche zamīñ ne rañg badlā hai
mire lahje meñ apnā kis tarah āhañg badlā hai
mujhe thoḌā sambhalne do abhī Thahro
abhī Thahro ki vo ḳhush-baḳht saa.at bhī abhī
mujh tak nahīñ pahuñchī
jo dil ke ā.īne ko vahm kī andhī galī se
etibār-e-zāt kī sarhad pe laatī hai
use rasta batātī hai
abhī un rāstoñ par tum mujhe kuchh der chalne do
abhī Thahro
koī ḳhvāhish umīd-o-bīm ke mābain ab bhī
saañs letī hai
use is karb se āzād karne do
vo saare ḳhvāb
jin ko dekhne kā qarz meñ luuTā nahīñ paa.ī
mujhe un ke liye ta.abīr kā saf.ha palaTne do
abhī Thahro
kisī biite hue mausam ke baḳhshe zaḳhm
ab bhī aañkh kī putlī meñ raushan haiñ
zarā ye zaḳhm bharne do
masīhā.ī tumhārī
ruuh kī pātāl tak kaise pahuñchtī hai
mujhe andāza karne do
abhī Thahro
abhī se is ta.alluq kā
koī unvān mat socho
abhi Thahro
abhi se is talluq ka koi unwan mat socho
abhi to is kahani mein
mohabbat ke adhure bab ki takmil hone tak
nazar ki dhup mein rakkhe hue KHwabon ke
sare zaiqe tabdil hone tak
bahut se moD aane hain
mujhe un se guzarne do
zara mahsus karne do
ki mere panw ke niche zamin ne rang badla hai
mere lahje mein apna kis tarah aahang badla hai
mujhe thoDa sambhalne do abhi Thahro
abhi Thahro ki wo KHush-baKHt saat bhi abhi
mujh tak nahin pahunchi
jo dil ke aaine ko wahm ki andhi gali se
etibar-e-zat ki sarhad pe lati hai
use rasta batati hai
abhi un raston par tum mujhe kuchh der chalne do
abhi Thahro
koi KHwahish umid-o-bim ke mabain ab bhi
sans leti hai
use is karb se aazad karne do
wo sare KHwab
jin ko dekhne ka qarz mein luTa nahin pai
mujhe un ke liye tabir ka safha palaTne do
abhi Thahro
kisi bite hue mausam ke baKHshe zaKHm
ab bhi aankh ki putli mein raushan hain
zara ye zaKHm bharne do
masihai tumhaari
ruh ki patal tak kaise pahunchti hai
mujhe andaza karne do
abhi Thahro
abhi se is talluq ka
koi unwan mat socho
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 168)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.