Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mom-batti ka TukDa

Badiuzzaman Khawar

mom-batti ka TukDa

Badiuzzaman Khawar

MORE BYBadiuzzaman Khawar

    na pheñko

    taaq meñ is ko sañbhāl kar rakho

    haqīr sahī

    TukḌā ye mom-battī

    kisī bhī vaqt uḌā fuse to

    añdhere meñ

    'ajab nahīñ ki ye phir apne kaam aa jaa.e

    sunā hai koī bharosā nahīñ hai bijlī

    na pheñko rahne do

    TukḌā ye mom-battī

    haqīr sahī zulmat meñ jal to saktā hai

    na phenko

    taq mein is ko sanbhaal kar rakho

    haqir hi sahi

    TukDa ye mom-batti ka

    kisi bhi waqt uDa fuse to

    andhere mein

    'ajab nahin ki ye phir apne kaam aa jae

    suna hai koi bharosa nahin hai bijli ka

    na phenko rahne do

    TukDa ye mom-batti ka

    haqir hi sahi zulmat mein jal to sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now