mom ki guDiya
mom kī guḌiyā
ḳhālī āñkhoñ se
apnī ḳhālī muTThī ko
pighalte dekh rahī hai
kal tak
tarāzū us ke haath meñ thī
aaj
ek faisla dene ke ba.ad
mujrim banī khaḌī hai
aur apnī ḳhālī muTThī ko pighaltā dekh rahī hai
mom ki guDiya
KHali aankhon se
apni KHali muTThi ko
pighalte dekh rahi hai
kal tak
taraazu us ke hath mein thi
aaj
ek faisla dene ke baad
mujrim bani khaDi hai
aur apni KHali muTThi ko pighalta dekh rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.