mor nama
is jangal meñ mor bahut haiñ
niile piile chor bahut haiñ
din bhar moroñ kī jhankār
uupar nīche chīḳh pukār
sher miyāñ ko niiñd na aa.ī
le kar ik lambī sī jamā.ī
lomḌī b se kahlāyā
moroñ ko kis ne bulvāyā
mor to karte shor bahut haiñ
is jangal meñ mor bahut haiñ
niile piile chor bahut haiñ
raat kā āñgan chāñdī jaisā
din kā chehra thālī jaisā
raat ke ghar meñ kitne ghoḌe
din ke kapḌe kitne joḌe
mor ke kapḌe kaise anokhe
niile hare se surḳh sunahre
mor kī dum meñ sone ke chhalle
us se kahnā ham se badal le
bhūre sunahre paroñ ko khole
mor uḌā to sab ye bole
us ke par kamzor bahut haiñ
is jangal meñ mor bahut haiñ
niile piile chor bahut haiñ
is jangal mein mor bahut hain
nile pile chor bahut hain
din bhar moron ki jhankar
upar niche chiKH pukar
sher miyan ko nind na aai
le kar ek lambi si jamai
lomDi b se kahlaya
moron ko kis ne bulwaya
mor to karte shor bahut hain
is jangal mein mor bahut hain
nile pile chor bahut hain
raat ka aangan chandi jaisa
din ka chehra thaali jaisa
raat ke ghar mein kitne ghoDe
din ke kapDe kitne joDe
mor ke kapDe kaise anokhe
nile hare se surKH sunahre
mor ki dum mein sone ke chhalle
us se kahna hum se badal le
bhure sunahre paron ko khole
mor uDa to sab ye bole
us ke par kamzor bahut hain
is jangal mein mor bahut hain
nile pile chor bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.