ek darKHwast
zindagī ke jitne darvāze haiñ mujh pe band haiñ
dekhnā hadd-e-nazar se aage baḌh kar dekhnā bhī jurm hai
sochnā apne aqīdoñ aur yaqīnoñ se nikal kar sochnā bhī jurm hai
āsmāñ-dar-āsmāñ asrār kī parteñ haTā kar jhāñknā bhī jurm hai
kyuuñ bhī kahnā jurm hai kaise bhī kahnā jurm hai
saañs lene kī to āzādī mayassar hai magar
zinda rahne ke liye insān ko kuchh aur bhī darkār hai
aur is kuchh aur bhī kā tazkira bhī jurm hai
ai ḳhudāvandān-e-aivān-e-aqā.ed
ai hunar-mandān-e-ā.īn-o-siyāsat
zindagī ke naam par bas ik ināyat chāhiye
mujh ko in saare jarā.em kī ijāzat chāhiye
zindagi ke jitne darwaze hain mujh pe band hain
dekhna hadd-e-nazar se aage baDh kar dekhna bhi jurm hai
sochna apne aqidon aur yaqinon se nikal kar sochna bhi jurm hai
aasman-dar-asman asrar ki parten haTa kar jhankna bhi jurm hai
kyun bhi kahna jurm hai kaise bhi kahna jurm hai
sans lene ki to aazadi mayassar hai magar
zinda rahne ke liye insan ko kuchh aur bhi darkar hai
aur is kuchh aur bhi ka tazkira bhi jurm hai
ai KHudawandan-e-aiwan-e-aqaed
ai hunar-mandan-e-ain-o-siyasat
zindagi ke nam par bas ek inayat chahiye
mujh ko in sare jaraem ki ijazat chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.