taswir-e-dard
Interesting Fact
From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
nahīñ minnat-kash-e-tāb-e-shunīdan dāstāñ merī
ḳhamoshī guftugū hai be-zabānī hai zabāñ merī
ye dastūr-e-zabāñ-bandī hai kaisā terī mahfil meñ
yahāñ to baat karne ko tarastī hai zabāñ merī
uThā.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul ne
chaman meñ har taraf bikhrī huī hai dāstāñ merī
uḌā lī qumriyoñ ne tūtiyoñ ne andalīboñ ne
chaman vāloñ ne mil kar luuT lī tarz-e-fuġhāñ merī
Tapak ai sham.a aañsū ban ke parvāne kī āñkhoñ se
sarāpā dard huuñ hasrat bharī hai dāstāñ merī
ilāhī phir maza kyā hai yahāñ duniyā meñ rahne kā
hayāt-e-jāvedāñ merī na marg-e-nā-gahāñ merī
mirā ronā nahīñ ronā hai ye saare gulistāñ kā
vo gul huuñ maiñ ḳhizāñ har gul kī hai goyā ḳhizāñ merī
darīñ hasrat sarā umrīst afsūn-e-jaras dāram
z faiz-e-dil tapīdan-hā ḳharosh-e-be-nafas dāram
riyāz-e-dahr meñ nā-āshnā-e-bazm-e-ishrat huuñ
ḳhushī rotī hai jis ko maiñ vo mahrūm-e-masarrat huuñ
mirī bigḌī huī taqdīr ko rotī hai goyā.ī
maiñ harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samā.at huuñ
pareshāñ huuñ maiñ musht-e-ḳhāk lekin kuchh nahīñ khultā
sikandar huuñ ki ā.īna huuñ yā gard-e-kudūrat huuñ
ye sab kuchh hai magar hastī mirī maqsad hai qudrat kā
sarāpā nuur ho jis kī haqīqat maiñ vo zulmat huuñ
ḳhazīna huuñ chhupāyā mujh ko musht-e-ḳhāk-e-sahrā ne
kisī ko kyā ḳhabar hai maiñ kahāñ huuñ kis kī daulat huuñ
nazar merī nahīñ mamnūn-e-sair-e-arsa-e-hastī
maiñ vo chhoTī sī duniyā huuñ ki aap apnī vilāyat huuñ
na sahbā huuñ na saaqī huuñ na mastī huuñ na paimāna
maiñ is mai-ḳhāna-e-hastī meñ har shai kī haqīqat huuñ
mujhe rāz-e-do-ālam dil kā ā.īna dikhātā hai
vahī kahtā huuñ jo kuchh sāmne āñkhoñ ke aatā hai
atā aisā bayāñ mujh ko huā rañgīñ-bayānoñ meñ
ki bām-e-arsh ke taa.ir haiñ mere ham-zabānoñ meñ
asar ye bhī hai ik mere junūn-e-fitna-sāmāñ kā
mirā ā.īna-e-dil hai qazā ke rāz-dānoñ meñ
rulātā hai tirā nazzāra ai hindostāñ mujh ko
ki ibrat-ḳhez hai terā fasāna sab fasānoñ meñ
diyā ronā mujhe aisā ki sab kuchh de diyā goyā
likhā kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-ḳhvānoñ meñ
nishān-e-barg-e-gul tak bhī na chhoḌ us baaġh meñ gulchīñ
tirī qismat se razm-ārā.iyāñ haiñ bāġhbānoñ meñ
chhupā kar āstīñ meñ bijliyāñ rakkhī haiñ gardūñ ne
anādil baaġh ke ġhāfil na baiTheñ āshiyānoñ meñ
sun ai ġhāfil sadā merī ye aisī chiiz hai jis ko
vazīfa jaan kar paḌhte haiñ taa.ir bostānoñ meñ
vatan kī fikr kar nādāñ musībat aane vaalī hai
tirī barbādiyoñ ke mashvare haiñ āsmānoñ meñ
zarā dekh us ko jo kuchh ho rahā hai hone vaalā hai
dharā kyā hai bhalā ahd-e-kuhan kī dāstānoñ meñ
ye ḳhāmoshī kahāñ tak lazzat-e-fariyād paidā kar
zamīñ par tū ho aur terī sadā ho āsmānoñ meñ
na samjhoge to miT jāoge ai hindostāñ vaalo
tumhārī dāstāñ tak bhī na hogī dāstānoñ meñ
yahī ā.īn-e-qudrat hai yahī uslūb-e-fitrat hai
jo hai rāh-e-amal meñ gām-zan mahbūb-e-fitrat hai
huvaidā aaj apne zaḳhm-e-pinhāñ kar ke chhoḌūñgā
lahū ro ro ke mahfil ko gulistāñ kar ke chhoḌūñgā
jalānā hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhāñ se
tirī tārīk rātoñ meñ charāġhāñ kar ke chhoḌūñgā
magar ġhunchoñ kī sūrat huuñ dil-e-dard-āshnā paidā
chaman meñ musht-e-ḳhāk apnī pareshāñ kar ke chhoḌūñgā
pironā ek hī tasbīh meñ in bikhre dānoñ ko
jo mushkil hai to is mushkil ko āsāñ kar ke chhoḌūñgā
mujhe ai ham-nashīñ rahne de shaġhl-e-sīna-kāvī meñ
ki maiñ dāġh-e-mohabbat ko numāyāñ kar ke chhoḌūñgā
dikhā dūñgā jahāñ ko jo mirī āñkhoñ ne dekhā hai
tujhe bhī sūrat-e-ā.īna hairāñ kar ke chhoḌūñgā
jo hai pardoñ meñ pinhāñ chashm-e-bīnā dekh letī hai
zamāne kī tabī.at kā taqāzā dekh letī hai
kiyā rif.at kī lazzat se na dil ko āshnā tū ne
gizārī umr pastī meñ misāl-e-naqsh-e-pā tū ne
rahā dil-basta-e-mahfil magar apnī nigāhoñ ko
kiyā bairūn-e-mahfil se na hairat-āshnā tū ne
fidā kartā rahā dil ko hasīnoñ kī adāoñ par
magar dekhī na us ā.īne meñ apnī adā tū ne
ta.assub chhoḌ nādāñ dahr ke ā.īna-ḳhāne meñ
ye tasvīreñ haiñ terī jin ko samjhā hai burā tū ne
sarāpā nāla-e-bedād-e-soz-e-zindagī ho jā
sapand-āsā girah meñ bāñdh rakkhī hai sadā tū ne
safā-e-dil ko kyā ārā.ish-e-rañg-e-ta.alluq se
kaf-e-ā.īna par bāñdhī hai o nādāñ hinā tū ne
zamīñ kyā āsmāñ bhī terī kaj-bīnī pe rotā hai
ġhazab hai satr-e-qur.āñ ko chalīpā kar diyā tū ne
zabāñ se gar kiyā tauhīd kā daavā to kyā hāsil
banāyā hai but-e-pindār ko apnā ḳhudā tū ne
kueñ meñ tū ne yūsuf ko jo dekhā bhī to kyā dekhā
are ġhāfil jo mutlaq thā muqayyad kar diyā tū ne
havas bālā-e-mimbar hai tujhe rañgīñ-bayānī kī
nasīhat bhī tirī sūrat hai ik afsāna-ḳhvānī kī
dikhā vo husn-e-ālam-soz apnī chashm-e-pur-nam ko
jo taḌpātā hai parvāne ko rulvātā hai shabnam ko
zarā nazzāra hī ai bul-havas maqsad nahīñ us kā
banāyā hai kisī ne kuchh samajh kar chashm-e-ādam ko
agar dekhā bhī us ne saare aalam ko to kyā dekhā
nazar aa.ī na kuchh apnī haqīqat jaam se jam ko
shajar hai firqa-ārā.ī ta.assub hai samar us kā
ye vo phal hai ki jannat se nikalvātā hai aadam ko
na uTThā jazba-e-ḳhurshīd se ik barg-e-gul tak bhī
ye rif.at kī tamannā hai ki le uḌtī hai shabnam ko
phirā karte nahīñ majrūh-e-ulfat fikr-e-darmāñ meñ
ye zaḳhmī aap kar lete haiñ paidā apne marham ko
mohabbat ke sharar se dil sarāpā nuur hotā hai
zarā se biij se paidā riyāz-e-tūr hotā hai
davā har dukh kī hai majrūh-e-teġh-e-ārzū rahnā
ilāj-e-zaḳhm hai āzād-e-ehsān-e-rafū rahnā
sharāb-e-be-ḳhudī se tā-falak parvāz hai merī
shikast-e-rañg se sīkhā hai maiñ ne ban ke bū rahnā
thame kyā dīda-e-giryāñ vatan kī nauha-ḳhvānī meñ
ibādat chashm-e-shā.ir kī hai har dam bā-vazū rahnā
banā.eñ kyā samajh kar shāḳh-e-gul par āshiyāñ apnā
chaman meñ aah kyā rahnā jo ho be-ābrū rahnā
jo tū samjhe to āzādī hai poshīda mohabbat meñ
ġhulāmī hai asīr-e-imtiyāz-e-mā-o-tū rahnā
ye istiġhnā hai paanī meñ nigūñ rakhtā hai sāġhar ko
tujhe bhī chāhiye misl-e-habāb-e-ābjū rahnā
na rah apnoñ se be-parvā isī meñ ḳhair hai terī
agar manzūr hai duniyā meñ o begāna-ḳhū rahnā
sharāb-e-rūh-parvar hai mohabbat nau-e-insāñ kī
sikhāyā is ne mujh ko mast be-jām-o-subū rahnā
mohabbat hī se paa.ī hai shifā bīmār qaumoñ ne
kiyā hai apne baḳht-e-ḳhufta ko bedār qaumoñ ne
bayābān-e-mohabbat dasht-e-ġhurbat bhī vatan bhī hai
ye vīrāna qafas bhī āshiyāna bhī chaman bhī hai
mohabbat hī vo manzil hai ki manzil bhī hai sahrā bhī
jaras bhī kārvāñ bhī rāhbar bhī rāhzan bhī hai
maraz kahte haiñ sab is ko ye hai lekin maraz aisā
chhupā jis meñ ilāj-e-gardish-e-charḳh-e-kuhan bhī hai
jalānā dil kā hai goyā sarāpā nuur ho jaanā
ye parvāna jo sozāñ ho to sham-e-anjuman bhī hai
vahī ik husn hai lekin nazar aatā hai har shai meñ
ye shīrīñ bhī hai goyā be-sutūñ bhī kohkan bhī hai
ujāḌā hai tamīz-e-millat-o-ā.īñ ne qaumoñ ko
mire ahl-e-vatan ke dil meñ kuchh fikr-e-vatan bhī hai
sukūt-āmoz tūl-e-dāstān-e-dard hai varna
zabāñ bhī hai hamāre muñh meñ aur tāb-e-suḳhan bhī hai
namī-gardīd ko tah rishta-e-ma.anī rihā kardam
hikāyat buud be-pāyāñ ba-ḳhāmoshī adā kardam
nahin minnat-kash-e-tab-e-shunidan dastan meri
KHamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban meri
ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisa teri mahfil mein
yahan to baat karne ko tarasti hai zaban meri
uThae kuchh waraq lale ne kuchh nargis ne kuchh gul ne
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri
uDa li qumriyon ne tutiyon ne andalibon ne
chaman walon ne mil kar luT li tarz-e-fughan meri
Tapak ai shama aansu ban ke parwane ki aankhon se
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri
ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka
hayat-e-jawedan meri na marg-e-na-gahan meri
mera rona nahin rona hai ye sare gulistan ka
wo gul hun main KHizan har gul ki hai goya KHizan meri
darin hasrat sara umrist afsun-e-jaras daram
z faiz-e-dil tapidan-ha KHarosh-e-be-nafas daram
riyaz-e-dahr mein na-ashna-e-bazm-e-ishrat hun
KHushi roti hai jis ko main wo mahrum-e-masarrat hun
meri bigDi hui taqdir ko roti hai goyai
main harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaat hun
pareshan hun main musht-e-KHak lekin kuchh nahin khulta
sikandar hun ki aaina hun ya gard-e-kudurat hun
ye sab kuchh hai magar hasti meri maqsad hai qudrat ka
sarapa nur ho jis ki haqiqat main wo zulmat hun
KHazina hun chhupaya mujh ko musht-e-KHak-e-sahra ne
kisi ko kya KHabar hai main kahan hun kis ki daulat hun
nazar meri nahin mamnun-e-sair-e-arsa-e-hasti
main wo chhoTi si duniya hun ki aap apni wilayat hun
na sahba hun na saqi hun na masti hun na paimana
main is mai-KHana-e-hasti mein har shai ki haqiqat hun
mujhe raaz-e-do-alam dil ka aaina dikhata hai
wahi kahta hun jo kuchh samne aankhon ke aata hai
ata aisa bayan mujh ko hua rangin-bayanon mein
ki baam-e-arsh ke tair hain mere ham-zabanon mein
asar ye bhi hai ek mere junun-e-fitna-saman ka
mera aaina-e-dil hai qaza ke raaz-danon mein
rulata hai tera nazzara ai hindostan mujh ko
ki ibrat-KHez hai tera fasana sab fasanon mein
diya rona mujhe aisa ki sab kuchh de diya goya
likha kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHwanon mein
nishan-e-barg-e-gul tak bhi na chhoD us bagh mein gulchin
teri qismat se razm-araiyan hain baghbanon mein
chhupa kar aastin mein bijliyan rakkhi hain gardun ne
anadil bagh ke ghafil na baiThen aashiyanon mein
sun ai ghafil sada meri ye aisi chiz hai jis ko
wazifa jaan kar paDhte hain tair bostanon mein
watan ki fikr kar nadan musibat aane wali hai
teri barbaadiyon ke mashware hain aasmanon mein
zara dekh us ko jo kuchh ho raha hai hone wala hai
dhara kya hai bhala ahd-e-kuhan ki dastanon mein
ye KHamoshi kahan tak lazzat-e-fariyaad paida kar
zamin par tu ho aur teri sada ho aasmanon mein
na samjhoge to miT jaoge ai hindostan walo
tumhaari dastan tak bhi na hogi dastanon mein
yahi aain-e-qudrat hai yahi uslub-e-fitrat hai
jo hai rah-e-amal mein gam-zan mahbub-e-fitrat hai
huwaida aaj apne zaKHm-e-pinhan kar ke chhoDunga
lahu ro ro ke mahfil ko gulistan kar ke chhoDunga
jalana hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhan se
teri tarik raaton mein charaghan kar ke chhoDunga
magar ghunchon ki surat hun dil-e-dard-ashna paida
chaman mein musht-e-KHak apni pareshan kar ke chhoDunga
pirona ek hi tasbih mein in bikhre danon ko
jo mushkil hai to is mushkil ko aasan kar ke chhoDunga
mujhe ai ham-nashin rahne de shaghl-e-sina-kawi mein
ki main dagh-e-mohabbat ko numayan kar ke chhoDunga
dikha dunga jahan ko jo meri aankhon ne dekha hai
tujhe bhi surat-e-aina hairan kar ke chhoDunga
jo hai pardon mein pinhan chashm-e-bina dekh leti hai
zamane ki tabiat ka taqaza dekh leti hai
kiya rifat ki lazzat se na dil ko aashna tu ne
gizari umr pasti mein misal-e-naqsh-e-pa tu ne
raha dil-basta-e-mahfil magar apni nigahon ko
kiya bairun-e-mahfil se na hairat-ashna tu ne
fida karta raha dil ko hasinon ki adaon par
magar dekhi na us aaine mein apni ada tu ne
tassub chhoD nadan dahr ke aaina-KHane mein
ye taswiren hain teri jin ko samjha hai bura tu ne
sarapa nala-e-bedad-e-soz-e-zindagi ho ja
sapand-asa girah mein bandh rakkhi hai sada tu ne
safa-e-dil ko kya aaraish-e-rang-e-talluq se
kaf-e-aina par bandhi hai o nadan hina tu ne
zamin kya aasman bhi teri kaj-bini pe rota hai
ghazab hai satr-e-quran ko chalipa kar diya tu ne
zaban se gar kiya tauhid ka dawa to kya hasil
banaya hai but-e-pindar ko apna KHuda tu ne
kuen mein tu ne yusuf ko jo dekha bhi to kya dekha
are ghafil jo mutlaq tha muqayyad kar diya tu ne
hawas baala-e-mimbar hai tujhe rangin-bayani ki
nasihat bhi teri surat hai ek afsana-KHwani ki
dikha wo husn-e-alam-soz apni chashm-e-pur-nam ko
jo taDpata hai parwane ko rulwata hai shabnam ko
zara nazzara hi ai bul-hawas maqsad nahin us ka
banaya hai kisi ne kuchh samajh kar chashm-e-adam ko
agar dekha bhi us ne sare aalam ko to kya dekha
nazar aai na kuchh apni haqiqat jam se jam ko
shajar hai firqa-arai tassub hai samar us ka
ye wo phal hai ki jannat se nikalwata hai aadam ko
na uTTha jazba-e-KHurshid se ek barg-e-gul tak bhi
ye rifat ki tamanna hai ki le uDti hai shabnam ko
phira karte nahin majruh-e-ulfat fikr-e-darman mein
ye zaKHmi aap kar lete hain paida apne marham ko
mohabbat ke sharar se dil sarapa nur hota hai
zara se bij se paida riyaz-e-tur hota hai
dawa har dukh ki hai majruh-e-tegh-e-arzu rahna
ilaj-e-zaKHm hai aazad-e-ehsan-e-rafu rahna
sharab-e-be-KHudi se ta-falak parwaz hai meri
shikast-e-rang se sikha hai main ne ban ke bu rahna
thame kya dida-e-giryan watan ki nauha-KHwani mein
ibaadat chashm-e-shair ki hai har dam ba-wazu rahna
banaen kya samajh kar shaKH-e-gul par aashiyan apna
chaman mein aah kya rahna jo ho be-abru rahna
jo tu samjhe to aazadi hai poshida mohabbat mein
ghulami hai asir-e-imtiyaz-e-ma-o-tu rahna
ye istighna hai pani mein nigun rakhta hai saghar ko
tujhe bhi chahiye misl-e-habab-e-abju rahna
na rah apnon se be-parwa isi mein KHair hai teri
agar manzur hai duniya mein o begana-KHu rahna
sharab-e-ruh-parwar hai mohabbat nau-e-insan ki
sikhaya is ne mujh ko mast be-jam-o-subu rahna
mohabbat hi se pai hai shifa bimar qaumon ne
kiya hai apne baKHt-e-KHufta ko bedar qaumon ne
bayaban-e-mohabbat dasht-e-ghurbat bhi watan bhi hai
ye virana qafas bhi aashiyana bhi chaman bhi hai
mohabbat hi wo manzil hai ki manzil bhi hai sahra bhi
jaras bhi karwan bhi rahbar bhi rahzan bhi hai
maraz kahte hain sab is ko ye hai lekin maraz aisa
chhupa jis mein ilaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhi hai
jalana dil ka hai goya sarapa nur ho jaana
ye parwana jo sozan ho to sham-e-anjuman bhi hai
wahi ek husn hai lekin nazar aata hai har shai mein
ye shirin bhi hai goya be-sutun bhi kohkan bhi hai
ujaDa hai tamiz-e-millat-o-ain ne qaumon ko
mere ahl-e-watan ke dil mein kuchh fikr-e-watan bhi hai
sukut-amoz tul-e-dastan-e-dard hai warna
zaban bhi hai hamare munh mein aur tab-e-suKHan bhi hai
nami-gardid ko tah rishta-e-mani riha kardam
hikayat bud be-payan ba-KHamoshi ada kardam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.