Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zohd aur rindi

Allama Iqbal

zohd aur rindi

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)

    ik maulvī sāhab sunātā huuñ kahānī

    tezī nahīñ manzūr tabī.at dikhānī

    shohra thā bahut aap sūfī-manushī

    karte the adab un a.aalī o adānī

    kahte the ki pinhāñ hai tasavvuf meñ sharī.at

    jis tarah ki alfāz meñ muzmar hoñ ma.ānī

    labrez mai-e-zohd se thī dil surāhī

    thī tah meñ kahīñ durd-e-ḳhayāl-e-hama-dānī

    karte the bayāñ aap karāmāt apnī

    manzūr thī tādād murīdoñ baḌhānī

    muddat se rahā karte the ham-sā.e meñ mere

    thī rind se zāhid mulāqāt purānī

    hazrat ne mire ek shanāsā se ye pūchhā

    'iqbāl' ki hai qumri-e-shamshād-e-ma.ānī

    pābandi-e-ahkām-e-sharī.at meñ hai kaisā

    go sher meñ hai rashk-e-kalīm-e-hamdānī

    suntā huuñ ki kāfir nahīñ hindū ko samajhtā

    hai aisā aqīda asar-e-falsafa-dānī

    hai us tabī.at meñ tashayyo bhī zarā

    tafzīl-e-alī ham ne sunī us zabānī

    samjhā hai ki hai raag ibādāt meñ dāḳhil

    maqsūd hai maz.hab magar ḳhaak uḌānī

    kuchh aar use husn-farāmoshoñ se nahīñ hai

    aadat ye hamāre shorā hai purānī

    gaanā jo hai shab ko to sahar ko hai tilāvat

    is ramz ke ab tak na khule ham pe ma.ānī

    lekin ye sunā apne murīdoñ se hai maiñ ne

    be-dāġh hai mānind-e-sahar us javānī

    majmua-e-azdād hai 'iqbāl' nahīñ hai

    dil daftar-e-hikmat hai tabī.at ḳhafaqānī

    rindī se bhī āgāh sharī.at se bhī vāqif

    pūchho jo tasavvuf to mansūr saanī

    us shaḳhs ham par to haqīqat nahīñ khultī

    hogā ye kisī aur islām baanī

    al-qissa bahut tuul diyā vaaz ko apne

    tā-der rahī aap ye naġhz-bayānī

    is shahr meñ jo baat ho uḌ jaatī hai sab meñ

    maiñ ne bhī sunī apne ahibbā zabānī

    ik din jo sar-e-rāh mile hazrat-e-zāhid

    phir chhiḌ ga.ī bātoñ meñ vahī baat purānī

    farmāyā shikāyat vo mohabbat ke sabab thī

    thā farz mirā raah sharī.at dikhānī

    maiñ ne ye kahā koī gila mujh ko nahīñ hai

    ye aap haq thā ze-rah-e-qurb-e-makānī

    ḳham hai sar-e-taslīm mirā aap ke aage

    piirī hai tavāzo ke sabab merī javānī

    gar aap ko mālūm nahīñ merī haqīqat

    paidā nahīñ kuchh is se qusūr-e-hamādānī

    maiñ ḳhud bhī nahīñ apnī haqīqat shanāsā

    gahrā hai mire bahr-e-ḳhayālāt paanī

    mujh ko bhī tamannā hai ki 'iqbāl' ko dekhūñ

    us judā.ī meñ bahut ashk-fishānī

    'iqbāl' bhī 'iqbāl' se āgāh nahīñ hai

    kuchh is meñ tamasḳhur nahīñ vallāh nahīñ hai

    ek maulwi sahab ki sunata hun kahani

    tezi nahin manzur tabiat ki dikhani

    shohra tha bahut aap ki sufi-manushi ka

    karte the adab un ka aaali o adani

    kahte the ki pinhan hai tasawwuf mein shariat

    jis tarah ki alfaz mein muzmar hon maani

    labrez mai-e-zohd se thi dil ki surahi

    thi tah mein kahin durd-e-KHayal-e-hama-dani

    karte the bayan aap karamat ka apni

    manzur thi tadad muridon ki baDhani

    muddat se raha karte the ham-sae mein mere

    thi rind se zahid ki mulaqat purani

    hazrat ne mere ek shanasa se ye puchha

    'iqbaal' ki hai qumri-e-shamshad-e-maani

    pabandi-e-ahkaam-e-shariat mein hai kaisa

    go sher mein hai rashk-e-kalim-e-hamdani

    sunta hun ki kafir nahin hindu ko samajhta

    hai aisa aqida asar-e-falsafa-dani

    hai us ki tabiat mein tashayyo bhi zara sa

    tafzil-e-ali hum ne suni us ki zabani

    samjha hai ki hai rag ibaadat mein daKHil

    maqsud hai mazhab ki magar KHak uDani

    kuchh aar use husn-faramoshon se nahin hai

    aadat ye hamare shora ki hai purani

    gana jo hai shab ko to sahar ko hai tilawat

    is ramz ke ab tak na khule hum pe maani

    lekin ye suna apne muridon se hai main ne

    be-dagh hai manind-e-sahar us ki jawani

    majmua-e-azdad hai 'iqbaal' nahin hai

    dil daftar-e-hikmat hai tabiat KHafaqani

    rindi se bhi aagah shariat se bhi waqif

    puchho jo tasawwuf ki to mansur ka sani

    us shaKHs ki hum par to haqiqat nahin khulti

    hoga ye kisi aur hi islam ka bani

    al-qissa bahut tul diya waz ko apne

    ta-der rahi aap ki ye naghz-bayani

    is shahr mein jo baat ho uD jati hai sab mein

    main ne bhi suni apne ahibba ki zabani

    ek din jo sar-e-rah mile hazrat-e-zahid

    phir chhiD gai baaton mein wahi baat purani

    farmaya shikayat wo mohabbat ke sabab thi

    tha farz mera rah shariat ki dikhani

    main ne ye kaha koi gila mujh ko nahin hai

    ye aap ka haq tha ze-rah-e-qurb-e-makani

    KHam hai sar-e-taslim mera aap ke aage

    piri hai tawazo ke sabab meri jawani

    gar aap ko malum nahin meri haqiqat

    paida nahin kuchh is se qusur-e-hamadani

    main KHud bhi nahin apni haqiqat ka shanasa

    gahra hai mere bahr-e-KHayalat ka pani

    mujh ko bhi tamanna hai ki 'iqbaal' ko dekhun

    ki us ki judai mein bahut ashk-fishani

    'iqbaal' bhi 'iqbaal' se aagah nahin hai

    kuchh is mein tamasKHur nahin wallah nahin hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    zohd aur rindi Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now