man
bachchoñ pe chalī golī
maañ dekh ke ye bolī
ye dil ke mire TukḌe
yuuñ ro.e mire hote
maiñ duur khaḌī dekhūñ
ye mujh se nahīñ hogā
maiñ duur khaḌī dekhūñ
aur ahl-e-sitam kheleñ
ḳhuuñ se mire bachchoñ ke
din raat yahāñ holī
bachchoñ pe chalī golī
maañ dekh ke ye bolī
ye dil ke mire TukḌe
yuuñ ro.eñ mire hote
maiñ duur khaḌī dekhūñ
ye mujh se nahīñ hogā
maidāñ meñ nikal aa.ī
ik barq sī lahrā.ī
har dast-e-sitam kāñpā
bandūq bhī tharrā.ī
har samt sadā gūñjī
maiñ aatī huuñ maiñ aa.ī
maiñ aatī huuñ maiñ aa.ī
har zulm huā bātil
aur sahm ga.e qātil
jab us ne zabāñ kholī
bachchoñ pe chalī golī
us ne kahā ḳhūñ-ḳhvāro!
daulat ke parastāro
dhartī hai ye ham sab kī
is dhartī ko nā-dāno!
añgrez ke darbāno
sāhib kī atā-karda
jāgīr na tum jaano
is zulm se baaz aao
barrack meñ chale jaao
kyuuñ chand luTeroñ kī
phirte ho liye Tolī
bachchoñ pe chalī golī
bachchon pe chali goli
man dekh ke ye boli
ye dil ke mere TukDe
yun roe mere hote
main dur khaDi dekhun
ye mujh se nahin hoga
main dur khaDi dekhun
aur ahl-e-sitam khelen
KHun se mere bachchon ke
din raat yahan holi
bachchon pe chali goli
man dekh ke ye boli
ye dil ke mere TukDe
yun roen mere hote
main dur khaDi dekhun
ye mujh se nahin hoga
maidan mein nikal aai
ek barq si lahrai
har dast-e-sitam kanpa
banduq bhi tharrai
har samt sada gunji
main aati hun main aai
main aati hun main aai
har zulm hua baatil
aur sahm gae qatil
jab us ne zaban kholi
bachchon pe chali goli
us ne kaha KHun-KHwaro!
daulat ke parastaro
dharti hai ye hum sab ki
is dharti ko na-dano!
angrez ke darbano
sahib ki ata-karda
jagir na tum jaano
is zulm se baz aao
barrack mein chale jao
kyun chand luTeron ki
phirte ho liye Toli
bachchon pe chali goli
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 206)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.