Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man tere jaane ke baad

Shahnaz Parveen Shazi

man tere jaane ke baad

Shahnaz Parveen Shazi

MORE BYShahnaz Parveen Shazi

    Interesting Fact

    On the sudden death of his mother in Karachi

    bujh gayā raushan saverā maañ tire jaane ke baa'd

    chhā gayā har añdherā maañ tire jaane ke baa'd

    ġham bādal hai ghanerā maañ tire jaane ke baa'd

    dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd

    kis ke chehre meñ talāshūñ tere chehre jhalak

    kis ke āñchal meñ milegī terī mamtā mahak

    kis bātoñ meñ sunūñgī tere lahje khanak

    kis sitāre meñ basegī terī āñkhoñ chamak

    DhūñDhtī huuñ aks terā maañ tire jaane ke baa'd

    dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd

    phone par kis ko sunā.ūñgī maiñ apnā hāl-e-zār

    kis bāteñ sun ke aa.egā mire dil ko qarār

    kaun poñchhegā mire bahte hue ashkoñ dhaar

    kaun paanī paḌh ke degā hogā jab mujh ko buḳhār

    dil meñ vahshat baserā maañ tire jaane ke baa'd

    dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd

    kaun ab mere liye dast-e-duā phailā.egā

    kis tarah āfāt sadqa utārā jā.egā

    kaun marham zaḳhm-e-jāñ par pyaar se rakh pā.egā

    dard shiddat meñ merī piiTh ko sahlā.egā

    ranj-o-ġham ne mujh ko gherā maañ tire jaane ke baa'd

    dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd

    ai karachi ye batā ab kis se milne ā.ūñgī

    kis bāñhoñ meñ simaT kar chain o sukh maiñ pā.ūñgī

    maañ tirī furqat sadma maiñ nahīñ sah pā.ūñgī

    kis tarah yādoñ se terī apnā dil bahlā.ūñgī

    kal-adam maike pherā maañ tire jaane ke baa'd

    dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd

    to bāġh-e-ḳhuld meñ mehmān-e-yazdāñ ho ga.ī

    aur yahāñ par merī duniyā pal meñ vīrāñ ho ga.ī

    daf.atan izn-e-safar par ḳhalaq hairāñ ho ga.ī

    zindagī bhī ek lamha ko pareshāñ ho ga.ī

    ghar meñ ḳhāmoshī Derā maañ tire jaane ke baa'd

    dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd

    maġhfirat tujh pe maulā ab farāvānī kare

    jannat-ul-firdaus meñ bhī rahmat arzānī kare

    sabza-e-naurasta us ghar nigahbānī kare

    āsmāñ terī lahad par shabnam afshānī kare

    haq adā kar paañv terā maañ tire jaane ke baa'd

    dam ghuTā jaatā hai merā maañ tire jaane ke baa'd

    bujh gaya raushan sawera man tere jaane ke ba'd

    chha gaya har su andhera man tere jaane ke ba'd

    gham ka baadal hai ghanera man tere jaane ke ba'd

    dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd

    kis ke chehre mein talashun tere chehre ki jhalak

    kis ke aanchal mein milegi teri mamta ki mahak

    kis ki baaton mein sunungi tere lahje ki khanak

    kis sitare mein basegi teri aankhon ki chamak

    DhunDhti hun aks tera man tere jaane ke ba'd

    dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd

    phone par kis ko sunaungi main apna haal-e-zar

    kis ki baaten sun ke aaega mere dil ko qarar

    kaun ponchhega mere bahte hue ashkon ki dhaar

    kaun pani paDh ke dega hoga jab mujh ko buKHar

    dil mein wahshat ka basera man tere jaane ke ba'd

    dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd

    kaun ab mere liye dast-e-dua phailaega

    kis tarah aafat ka sadqa utara jaega

    kaun marham zaKHm-e-jaan par pyar se rakh paega

    dard ki shiddat mein meri piTh ko sahlaega

    ranj-o-gham ne mujh ko ghera man tere jaane ke ba'd

    dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd

    ai karachi ye bata ab kis se milne aaungi

    kis ki banhon mein simaT kar chain o sukh main paungi

    man teri furqat ka sadma main nahin sah paungi

    kis tarah yaadon se teri apna dil bahlaungi

    kal-adam maike ka phera man tere jaane ke ba'd

    dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd

    tu to bagh-e-KHuld mein mehman-e-yazdan ho gai

    aur yahan par meri duniya pal mein viran ho gai

    dafatan izn-e-safar par KHalaq hairan ho gai

    zindagi bhi ek lamha ko pareshan ho gai

    ghar mein KHamoshi ka Dera man tere jaane ke ba'd

    dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd

    maghfirat ki tujh pe maula ab farawani kare

    jannat-ul-firdaus mein bhi rahmat arzani kare

    sabza-e-naurasta us ghar ki nigahbani kare

    aasman teri lahad par shabnam afshani kare

    haq ada kar panw tera man tere jaane ke ba'd

    dam ghuTa jata hai mera man tere jaane ke ba'd

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now