moti
motī vo ham ne paayā
partav se jis ke mukhḌā jīvan kā muskurāyā
dhartī pe nuur bikhrā ākāsh jagmagāyā
tārīkiyoñ meñ ġham kī jis ne kiyā ujālā
be-tāb āñsuoñ kā hañstā huā vo hāsil
tūfān-e-zindagī kā vo pur-sukūn sāhil
vo bahr-e-be-karāñ kī mavvājiyoñ kā paalā
vo husn-e-sarmadī kā Thahrā huā safīna
vo ḳhātam-e-mohabbat kā jāvedāñ nagīna
ġham ne jise tarāshā ishrat ne jis ko Dhālā
vo gosh-e-ārzū kā āveza-e-mutahhar
siina pe aabrū ke vo haikal-e-munavvar
vo charḳh-e-zindagī kā damkā huā sitārā
har chashm-e-jauharī kā maqsūd thā ye motī
mandir meñ motiyoñ ke ma.abūd thā ye motī
hasrat se muntazir thī har tābnāk maalā
vo tal.at-e-sabāhī vo ishrat-e-shabāna
vo vaqt kī amānat vo daulat-e-zamāna
raste meñ chalte chalte jugnū sā jagmagāyā
motī vo ham ne paayā
moti wo hum ne paya
partaw se jis ke mukhDa jiwan ka muskuraya
dharti pe nur bikhra aakash jagmagaya
tarikiyon mein gham ki jis ne kiya ujala
be-tab aansuon ka hansta hua wo hasil
tufan-e-zindagi ka wo pur-sukun sahil
wo bahr-e-be-karan ki mawwajiyon ka pala
wo husn-e-sarmadi ka Thahra hua safina
wo KHatam-e-mohabbat ka jawedan nagina
gham ne jise tarasha ishrat ne jis ko Dhaala
wo gosh-e-arzu ka aaweza-e-mutahhar
sina pe aabru ke wo haikal-e-munawwar
wo charKH-e-zindagi ka damka hua sitara
har chashm-e-jauhari ka maqsud tha ye moti
mandir mein motiyon ke mabud tha ye moti
hasrat se muntazir thi har tabnak mala
wo talat-e-sabahi wo ishrat-e-shabana
wo waqt ki amanat wo daulat-e-zamana
raste mein chalte chalte jugnu sa jagmagaya
moti wo hum ne paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.