mrs-sala-manka
ḳhudā hashr meñ ho madad-gār merā
ki dekhī haiñ maiñ ne mrs.-sālā-māñkā kī āñkheñ
mrs.-sālā-māñkā kī āñkheñ
ki jin ke ufuq haiñ junūbī samundar kī niilī rasā.ī se aage
junūbī samundar kī niilī rasā.ī
ki jis ke jazīre hujūm-e-sahar se daraḳhshāñ
daraḳhshāñ jazīroñ meñ zartāb o unnāb o qurmuz parindoñ kī jaulāñ-gaheñ
aise phailī huī jaise jannat ke dāmāñ
parinde azal aur abad ke mah o saal meñ bāl-afshāñ!
ḳhudā hashr meñ ho madad-gār merā
ki maiñ ne liye haiñ mrs.-sālā-mañkā ke hoñToñ ke bose
vo bose ki jin kī halāvat ke chashme
shumālī zamīnoñ ke zartāb o unnāb o qurmuz daraḳhtoñ
ke mad.hosh bāġhoñ se aage
jahāñ zindagī ke rasīda shagūfoñ ke sīnoñ
se ḳhvāboñ ke ram-dīda zambūr lete haiñ ras aur piite haiñ vo
ki jis ke nashe kī jilā se
zamānoñ kī nādīda mehrāb ke do kināroñ ke nīche
haiñ yak-bārgī guuñj uThte ḳhalā o malā ke jalājil
jalājil ke naġhme baham aise paivast hote haiñ jaise
mrs.-sālā-mañikā ke lab mere lab se!
ḳhudā hashr meñ ho madad-gār merā
ki dekhā hai maiñ ne
mrs.-sālā-mañkā ko bistar meñ shab bhar barahana
vo gardan vo bāheñ vo rāneñ vo pistāñ
ki jin meñ junūbī samundar kī lahroñ ke tūfāñ
shumālī daraḳhtoñ ke bāġhoñ ke phūloñ kī ḳhushbū
jahāñ dam-ba-dam itr o tūfāñ baham aur gurezāñ
mrs.-sālā-mañikā kā jism-e-barhana
ufuq-tā-ufuq jaise añgūr kī bel jis kī
ġhizā āsmānoñ kā nuur aur hāsil
vo lazzat ki jis kā nahīñ koī pāyāñ
ḳhudā ke sivā kaun hai pāk-dāmāñ!
KHuda hashr mein ho madad-gar mera
ki dekhi hain main ne mrs-sala-manka ki aankhen
mrs-sala-manka ki aankhen
ki jin ke ufuq hain junubi samundar ki nili rasai se aage
junubi samundar ki nili rasai
ki jis ke jazire hujum-e-sahar se daraKHshan
daraKHshan jaziron mein zartab o unnab o qurmuz parindon ki jaulan-gahen
aise phaili hui jaise jannat ke daman
parinde azal aur abad ke mah o sal mein baal-afshan!
KHuda hashr mein ho madad-gar mera
ki main ne liye hain mrs-sala-manka ke honTon ke bose
wo bose ki jin ki halawat ke chashme
shumali zaminon ke zartab o unnab o qurmuz daraKHton
ke madhosh baghon se aage
jahan zindagi ke rasida shagufon ke sinon
se KHwabon ke ram-dida zambur lete hain ras aur pite hain wo
ki jis ke nashe ki jila se
zamanon ki nadida mehrab ke do kinaron ke niche
hain yak-bargi gunj uThte KHala o mala ke jalajil
jalajil ke naghme baham aise paiwast hote hain jaise
mrs-sala-manika ke lab mere lab se!
KHuda hashr mein ho madad-gar mera
ki dekha hai main ne
mrs-sala-manka ko bistar mein shab bhar barahana
wo gardan wo bahen wo ranen wo pistan
ki jin mein junubi samundar ki lahron ke tufan
shumali daraKHton ke baghon ke phulon ki KHushbu
jahan dam-ba-dam itr o tufan baham aur gurezan
mrs-sala-manika ka jism-e-barhana
ufuq-ta-ufuq jaise angur ki bel jis ki
ghiza aasmanon ka nur aur hasil
wo lazzat ki jis ka nahin koi payan
KHuda ke siwa kaun hai pak-daman!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.