Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muaf ai uruh-e-subh

Salam Machhli shahri

muaf ai uruh-e-subh

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    tārīk raat pichhle pahar tak thī sho.ala-bār

    ai sub.h-e-nau muaaf ki jaagā huuñ der se

    tere liye himāla se laatā huuñ ek giit

    pahle ye apnī surḳh kiran tez-tar to kar

    tere liye uThātā huuñ gañg-o-jaman saaz

    nāhīd naaz paañv meñ chhāgal pahan to le

    chuntā huuñ phuul jannat-e-kashmīr qasam

    haañ ai nigār-e-nau zarā ārāsta to ho

    maiñ toḌtā huuñ paañv zanjīr dekhnā

    in gesuoñ ko pahle zarā muntashir to kar

    pahle ye apnī surḳh kiran tez-tar to kar

    tarik raat pichhle pahar tak thi shoala-bar

    ai subh-e-nau muaf ki jaga hun der se

    tere liye himala se lata hun ek git

    pahle ye apni surKH kiran tez-tar to kar

    tere liye uThata hun gang-o-jaman ka saz

    nahid naz panw mein chhagal pahan to le

    chunta hun phul jannat-e-kashmir ki qasam

    han ai nigar-e-nau zara aarasta to ho

    main toDta hun panw ki zanjir dekhna

    in gesuon ko pahle zara muntashir to kar

    pahle ye apni surKH kiran tez-tar to kar

    Source :
    • Book : Muntakhab Nazmen (Pg. 55)
    • Author : idarah adab lateef
    • Publication : Maktaba Urdu lahore (1945)
    • Edition : 1945
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now