muazziz shair ki kaenat
tumhāre dil kī sañg-lāḳh vaadī meñ
dushvār-guzār aur pur-pech rāstoñ ke beach
kahīñ kisī maqām par
ek shikasta-hāl jhoñpaḌī garm havā ke thapeḌoñ se
apnī zañg-ālūd meḳhoñ ke bal par
vaise hī phaḌphaḌā rahī hai
jaise diye kī jāñ-ba-lab lau
añdheroñ ko shikast dene ke ba.ad bujhne lagtī hai
jin lahroñ aur un se janm lene vaalī āvāzoñ ko
sañg-dil shā.ir phaḌphaḌāhaT se ta.abīr kar rahā hai
vo sañg-lāḳh vaadī kā dukh hai
aur shikasta-hāl jhoñpaḌī ek muazziz shā.ir kī kā.enāt hai
*
fitrat ke hāshiya-navīsoñ ne
chand bosīda ḳhvāhishāt kī ka.ī phaTī chādareñ oḌh kar
ḳhud ko fitrat ke rañgoñ meñ rañgne se
apne ta.iiñ camouflage kar liyā hai
kyā vo kaTī phaTī chādaroñ se
pattharoñ ko rote bilakte nahīñ dekh sakte
fitrat ne un ko bhī pighal jaane kī kamzorī se āshnā kiyā hai
lekin vo shā.irī nahīñ karte
*
duniyā ke tamām shā.ir
kurra-e-arz par pattharoñ ke mābadoñ meñ mahbūs haiñ
lekin vo un se nazreñ churā kar
atrāf meñ khil uThne vaale rañgīn shagūfoñ kī
tahrīrī musavvirī meñ magan haiñ
shā.ir se behtar kaun jaan saktā hai
ki arzī kokh se insān kā janm mashaqqat meñ huā hai
aur use zindagī is tarah dī ga.ī hai
jaise koī shikasta-hāl jhoñpaḌī meñ dāḳhil ho
*
bosīda ḳhvāhishāt kī kaTī phaTī chādareñ oḌhne vaale
ḳhud ko muazziz samajhne par musir hai
ai dil meñ sañg-lāḳh vaadī ta.amīr karne vaale mahbūb
kyā tum unheñ ye batā sakte ho
ki pattharoñ kā husn lā-zavāl hotā hai
tumhaare dil ki sang-laKH wadi mein
dushwar-guzar aur pur-pech raston ke beach
kahin kisi maqam par
ek shikasta-haal jhonpaDi garm hawa ke thapeDon se
apni zang-alud meKHon ke bal par
waise hi phaDphaDa rahi hai
jaise diye ki jaan-ba-lab lau
andheron ko shikast dene ke baad bujhne lagti hai
jin lahron aur un se janm lene wali aawazon ko
sang-dil shair phaDphaDahaT se tabir kar raha hai
wo sang-laKH wadi ka dukh hai
aur shikasta-haal jhonpaDi ek muazziz shair ki kaenat hai
*
fitrat ke hashiya-nawison ne
chand bosida KHwahishat ki kai phaTi chadaren oDh kar
KHud ko fitrat ke rangon mein rangne se
apne tain camouflage kar liya hai
kya wo kaTi phaTi chadaron se
pattharon ko rote bilakte nahin dekh sakte
fitrat ne un ko bhi pighal jaane ki kamzori se aashna kiya hai
lekin wo shairi nahin karte
*
duniya ke tamam shair
kurra-e-arz par pattharon ke mabadon mein mahbus hain
lekin wo un se nazren chura kar
atraf mein khil uThne wale rangin shagufon ki
tahriri musawwiri mein magan hain
shair se behtar kaun jaan sakta hai
ki arzi kokh se insan ka janm mashaqqat mein hua hai
aur use zindagi is tarah di gai hai
jaise koi shikasta-haal jhonpaDi mein daKHil ho
*
bosida KHwahishat ki kaTi phaTi chadaren oDhne wale
KHud ko muazziz samajhne par musir hai
ai dil mein sang-laKH wadi tamir karne wale mahbub
kya tum unhen ye bata sakte ho
ki pattharon ka husn la-zawal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.