mudawa
bhare bāzār meñ ik shaḳhs ab tak
use muḌ muḌ ke dekhe jā rahā hai
nahīñ itnī bhī sudh baaqī ki soche
ye kab kā vāqi.a yaad aa rahā hai
ayaañ sūrat se hai us kī ki jaise
zamīñ pairoñ ke nīche hil ga.ī ho
koī shai jo kabhī gum ho ga.ī thī
achānak rāste meñ mil ga.ī ho!
bhare bazar mein ek shaKHs ab tak
use muD muD ke dekhe ja raha hai
nahin itni bhi sudh baqi ki soche
ye kab ka waqia yaad aa raha hai
ayan surat se hai us ki ki jaise
zamin pairon ke niche hil gai ho
koi shai jo kabhi gum ho gai thi
achanak raste mein mil gai ho!
- Book : Khala Ki Dhund Me.n Ham Chal Rahe hai.n (Pg. 61)
- Author : Aftab Shamsi
- Publication : Aftab Shamsi, Sharib Lodge, Khusro Bagh Road, Rampur-244901 (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.