mufahamat
jab us kā bosa letā thā cigarette kī bū nathnoñ meñ ghus jaatī thī
maiñ tambākū-noshī ko ik aib samajhtā aayā huuñ
lekin ab maiñ aadī huuñ, ye merī zaat kā hissa hai
vo bhī mere dāñtoñ kī bad-rañgī se mānūs hai, in kī aadī hai
jab ham donoñ milte haiñ, lafzoñ se begāna se ho jaate haiñ
kamre meñ kuchh sāñseñ aur pasīne kī buu, tanhā.ī rah jaatī hai!
ham donoñ shāyad murda haiñ ehsās kā chashma sūkhā hai
yā phir shāyad aisā hai ye afsāna bosīda hai
dard-e-zeh se ziist yūñhī halkān taḌaptī rahtī hai
na.e masīhā aate haiñ aur suulī par chaḌh jaate haiñ
ik maTiyālā insān safoñ ko chiir ke aage baḌhtā hai aur mimbar se chillātā hai
ham maslūb ke vāris haiñ ye ḳhuun hamārā virsa hai
aur vo sab ādarsh, vo sab jo vaj.h-e-malāmat Thahrā thā
is maTiyāle shaḳhs ke gahre me.ade meñ khup jaatā hai
phir tafsīroñ aur tavīloñ kī shakl meñ bāhar aatā hai
ye tāvīleñ majbūroñ kā ik mauhūm sahārā haiñ
yā shāyad sab kā sahārā haiñ
yūñhī meñ ādarsh insān kā juuyā huuñ
sab hī sapne dekhte haiñ ḳhvāboñ meñ havā meñ uḌte haiñ
phir ik manzil aatī hai jab phuuT phuuT kar rote haiñ
shāḳhoñ kī tarah TūTte haiñ
ik rūh-e-jān-o-dil ko jo duniyā meñ sab se baḌh kar hai pā lete haiñ
phir us se nafrat karte haiñ go phir bhī mohabbat karte haiñ!
maiñ us se nafrat kartā huuñ vo mujh ko niich samajhtī hai
lekin jab ham milte haiñ tanhā.ī meñ tārīkī meñ
donoñ aise ho jaate haiñ jaise āġhushta miTTī haiñ
nafrat zam ho jaatī hai ik sannāTā rah jaatā hai
sannāTā taḳhlīq-e-zamīñ ke ba.ad jo har-sū taarī thā
ham donoñ TūTte rahte haiñ jaise ham kachchī shāḳheñ haiñ
ḳhvāboñ kā zikr nahīñ karte donoñ ne kabhī jo dekhte the
ḳhushiyoñ kā zikr nahīñ karte jo kab kī supurd-e-ḳhāk huiiñ
bas donoñ TūTte rahte haiñ
maiñ bāda-noshī par maa.il huuñ, vo cigarette piitī rahtī hai
ik sannāTe kī chādar meñ ham donoñ lipTe jaate haiñ
ham donoñ TūTte rahte haiñ jaise ham kachchī shāḳheñ haiñ!
jab us ka bosa leta tha cigarette ki bu nathnon mein ghus jati thi
main tambaku-noshi ko ek aib samajhta aaya hun
lekin ab main aadi hun, ye meri zat ka hissa hai
wo bhi mere danton ki bad-rangi se manus hai, in ki aadi hai
jab hum donon milte hain, lafzon se begana se ho jate hain
kamre mein kuchh sansen aur pasine ki bu, tanhai rah jati hai!
hum donon shayad murda hain ehsas ka chashma sukha hai
ya phir shayad aisa hai ye afsana bosida hai
dard-e-zeh se zist yunhi halkan taDapti rahti hai
nae masiha aate hain aur suli par chaDh jate hain
ek maTiyala insan safon ko chir ke aage baDhta hai aur mimbar se chillata hai
hum maslub ke waris hain ye KHun hamara wirsa hai
aur wo sab aadarsh, wo sab jo wajh-e-malamat Thahra tha
is maTiyale shaKHs ke gahre meade mein khup jata hai
phir tafsiron aur tawilon ki shakl mein bahar aata hai
ye tawilen majburon ka ek mauhum sahaara hain
ya shayad sab ka sahaara hain
yunhi mein aadarsh insan ka juya hun
sab hi sapne dekhte hain KHwabon mein hawa mein uDte hain
phir ek manzil aati hai jab phuT phuT kar rote hain
shaKHon ki tarah TuTte hain
ek ruh-e-jaan-o-dil ko jo duniya mein sab se baDh kar hai pa lete hain
phir us se nafrat karte hain go phir bhi mohabbat karte hain!
main us se nafrat karta hun wo mujh ko nich samajhti hai
lekin jab hum milte hain tanhai mein tariki mein
donon aise ho jate hain jaise aaghushta miTTi hain
nafrat zam ho jati hai ek sannaTa rah jata hai
sannaTa taKHliq-e-zamin ke baad jo har-su tari tha
hum donon TuTte rahte hain jaise hum kachchi shaKHen hain
KHwabon ka zikr nahin karte donon ne kabhi jo dekhte the
KHushiyon ka zikr nahin karte jo kab ki supurd-e-KHak huin
bas donon TuTte rahte hain
main baada-noshi par mail hun, wo cigarette piti rahti hai
ek sannaTe ki chadar mein hum donon lipTe jate hain
hum donon TuTte rahte hain jaise hum kachchi shaKHen hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.