mughal ki car
alag duniyā kī caroñ se muġhal kī car hai pyāre
sunā hai pichhle das sāloñ se ye bīmār hai pyāre
zamāne ke liye ibrat kā ik shahkār hai pyāre
muġhal ke vāste ik mustaqil āzār hai pyāre
kisī bhī car se zinhār chaal is kī nahīñ miltī
ye vo shai hai ki duniyā meñ misāl is kī nahīñ miltī
ka.ī farlāñg tak dhakkā lagāte haiñ to chaltī hai
pasīna chaar chhe sāthī bahāte haiñ to chaltī hai
sahar se shaam tak haindle ghumāte haiñ to chaltī hai
sar us ke sāmne apnā jhukāte haiñ to chaltī hai
taras khā kar muġhal par jab bhī ye aatī hai harakat meñ
yaqīñ karnā hī paḌtā hai baḌī tāqat hai qudrat meñ
ye chaltī hai to shofar ko bhalā kab hosh rahtā hai
har ik rahgīr tā-hadd-e-nazar rū-posh rahtā hai
jahāñ bhī us kā jo purza hai vo pur-josh rahtā hai
magar ik horn hai kam-baḳht jo ḳhāmosh rahtā hai
koī ab us kī fitrat kā lagā.e ḳhaak andāza
gear us kā badalte haiñ to khul jaatā hai darvāza
kareñ revers to afsos ye aage ko chaltī hai
dabāte haiñ clutch is kā to battī is kī jaltī hai
agar multān jaanā ho to bhakkar jā nikaltī hai
jo pahiyoñ ke tale īñTeñ rakheñ ye tab sambhaltī hai
muġhal gaaḌī ke har ik vasf kā idrāk rakhte haiñ
jabhī to car meñ īñToñ kā vo stock rakhte haiñ
haiñ is meñ jis qadar seateñ vo spriñgoñ se ḳhālī haiñ
gumāñ hotā hai āsār-e-qadīma se nikālī haiñ
hujūm-e-dostāñ ne dhajjiyāñ is kī uḌā lī haiñ
vo har ik baiThne vaale se kapḌe kī savālī haiñ
pareshāñ us kā shīrāza har ik kal us kī be-kal hai
ye vo gaaḌī hai jo fankār kī taḳhlīq-e-avval hai
ise raste meñ bas taqdīr hī roke to ruktī hai
muġhal kī aah par tāsīr hī roke to ruktī hai
hamārā nāla-e-dil-gīr hī roke to ruktī hai
vagarna phir koī ḳhinzīr hī roke to ruktī hai
mire yaaro jahāñ ye jānvar kam-pāya jaatā
ḳhudā jaane vahāñ kaise ise Thahrāyā jaatā
alag duniya ki caron se mughal ki car hai pyare
suna hai pichhle das salon se ye bimar hai pyare
zamane ke liye ibrat ka ek shahkar hai pyare
mughal ke waste ek mustaqil aazar hai pyare
kisi bhi car se zinhaar chaal is ki nahin milti
ye wo shai hai ki duniya mein misal is ki nahin milti
kai farlang tak dhakka lagate hain to chalti hai
pasina chaar chhe sathi bahate hain to chalti hai
sahar se sham tak haindle ghumate hain to chalti hai
sar us ke samne apna jhukate hain to chalti hai
taras kha kar mughal par jab bhi ye aati hai harakat mein
yaqin karna hi paDta hai baDi taqat hai qudrat mein
ye chalti hai to shofar ko bhala kab hosh rahta hai
har ek rahgir ta-hadd-e-nazar ru-posh rahta hai
jahan bhi us ka jo purza hai wo pur-josh rahta hai
magar ek horn hai kam-baKHt jo KHamosh rahta hai
koi ab us ki fitrat ka lagae KHak andaza
gear us ka badalte hain to khul jata hai darwaza
karen rewers to afsos ye aage ko chalti hai
dabaate hain clutch is ka to batti is ki jalti hai
agar multan jaana ho to bhakkar ja nikalti hai
jo pahiyon ke tale inTen rakhen ye tab sambhalti hai
mughal gaDi ke har ek wasf ka idrak rakhte hain
jabhi to car mein inTon ka wo stock rakhte hain
hain is mein jis qadar seaten wo springon se KHali hain
guman hota hai aasar-e-qadima se nikali hain
hujum-e-dostan ne dhajjiyan is ki uDa li hain
wo har ek baiThne wale se kapDe ki sawali hain
pareshan us ka shiraaza har ek kal us ki be-kal hai
ye wo gaDi hai jo fankar ki taKHliq-e-awwal hai
ise raste mein bas taqdir hi roke to rukti hai
mughal ki aah par tasir hi roke to rukti hai
hamara nala-e-dil-gir hi roke to rukti hai
wagarna phir koi KHinzir hi roke to rukti hai
mere yaro jahan ye jaanwar kam-paya jata
KHuda jaane wahan kaise ise Thahraya jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.