muhajir
kaun batlā.e kisī ko
kaun ġhaltī par thā kis ne ġham-zada kis ko kiyā
kis ne gherā Daal kar ghaav diyā barsāt meñ
kis ne Dere par bulā kar barahna lāsha kiyā
kuchh yaad hai
kis ne jangoñ ke sahāre par guzārī zindagī
zindagī kī Dor se uljhā huā
andhā sitārā
bāñTtā hai raushnī
raushnī meñ raat bhīgī jal uThī
ham-vatan kī kaun dekhe bebasī
bebasī meñ gum muhājir ho ga.e
phuul par bhauñre kahīñ se aa gire
phir bhī ham se pūchhtā koī nahīñ
kis ne is dhartī pe kyoñ aa kar samā rakhā hai siiñg
sochtā huuñ kyā muhājir kī hai shaan
jab ki apne des meñ har aadmī
girya-zārī kar rahā hai
yā-ḳhudāvand
yā-masīhā
al-amān
kaun batlae kisi ko
kaun ghalti par tha kis ne gham-zada kis ko kiya
kis ne ghera Dal kar ghaw diya barsat mein
kis ne Dere par bula kar barahna lasha kiya
kuchh yaad hai
kis ne jangon ke sahaare par guzari zindagi
zindagi ki Dor se uljha hua
andha sitara
banTta hai raushni
raushni mein raat bhigi jal uThi
ham-watan ki kaun dekhe bebasi
bebasi mein gum muhajir ho gae
phul par bhaunre kahin se aa gire
phir bhi hum se puchhta koi nahin
kis ne is dharti pe kyon aa kar sama rakha hai sing
sochta hun kya muhajir ki hai shan
jab ki apne des mein har aadmi
girya-zari kar raha hai
ya-KHudawand
ya-masiha
al-aman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.