muhajir parindon ka swagat
duniyā
maiñ apnā saarā husn
terī hathelī par rakh detā huuñ
aur tū apnā saarā zahr
mere andar uñDel detī hai
jāntī hai naañ
maiñ ziyādā der ḳhālī nahīñ rah saktā
merī guuñj mujhe apnī lapeT meñ liye rakhtī hai
sahmā paḌā rahtā huuñ der der tak apne hī andar
apne ḳhālī pan ke sannāTe meñ
yā phir dhamā-chokaḌī kartī an-kahī nazmoñ ke shor meñ
chup chaap baiTh rahtā huuñ apne saath
kyā azīyat hai?
apne aap se milte hue
ḳhud-kalāmī bhī nahīñ ho paatī mujh se!
''boltā huuñ to lafz zamīñ par girte haiñ''
reza reza harf chun kar āñkhoñ se chūmtā huuñ
ki apnī samt lauTte samay
maiñ unheñ rauñd kar nahīñ guzar saktā
so kohar kī dhund meñ ghire hue
muhājir parindoñ ke par uThā laatā huuñ
apnī kitāb meñ rakhne ke liye
tab apnā sūnā-pan achchhā lagne lagtā hai
jab lafz parindoñ kī tarah mere aas paas
uḌte phirte haiñ
un ke rizq se bharā rahtā hai merā bātin
vo apnī nannhī nannhī choñcheñ khol kar
mere vajūd se apne ma.ānī chugte haiñ
unhī kī chahkār le ke aatā huuñ
maiñ tere liye merī pyārī duniyā!!!
duniya
main apna sara husn
teri hatheli par rakh deta hun
aur tu apna sara zahr
mere andar unDel deti hai
jaanti hai nan
main ziyaada der KHali nahin rah sakta
meri gunj mujhe apni lapeT mein liye rakhti hai
sahma paDa rahta hun der der tak apne hi andar
apne KHali pan ke sannaTe mein
ya phir dhama-chokaDi karti an-kahi nazmon ke shor mein
chup chap baiTh rahta hun apne sath
kya aziyat hai?
apne aap se milte hue
KHud-kalami bhi nahin ho pati mujh se!
bolta hun to lafz zamin par girte hain
reza reza harf chun kar aankhon se chumta hun
ki apni samt lauTte samay
main unhen raund kar nahin guzar sakta
so kohar ki dhund mein ghire hue
muhajir parindon ke par uTha lata hun
apni kitab mein rakhne ke liye
tab apna suna-pan achchha lagne lagta hai
jab lafz parindon ki tarah mere aas pas
uDte phirte hain
un ke rizq se bhara rahta hai mera baatin
wo apni nannhi nannhi chonchen khol kar
mere wajud se apne maani chugte hain
unhi ki chahkar le ke aata hun
main tere liye meri pyari duniya!!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.