muhasba
havā kahīñ naam ko nahīñ thī
azān-e-maġhrib se din kī paspā sipāh kā dil dhaḌak rahā thā
tamām rañgoñ ke imtiyāzāt miT chuke the
har ek shai kī siyah qabā thī
jagah jagah bām-o-dar ke paikar
ufuq ke rañgīn chaukhaTe meñ
misāl-e-tasvīr jam ga.e the
shajar hajar sab ke sab girebāñ meñ sar jhukā.e
muhāsba kar rahe the din bhar ke nek o bad kā
tavīl qāmat hazīñ khajūreñ
kaTī huī sā.atoñ ke mātam meñ
baal khole hue khaḌī thiiñ
nashemanoñ ko palaTte taa.ir
kuchh aise tham tham ke uḌ rahe the
ki safha-e-āsmāñ pe goyā
sarāb-e-parvāz ban ga.e the
idhar mirā dil
dhaḌak dhaḌak kar
ajiib ibrat bharī nadāmat se sochtā thā
ki aaj kā din bhī kaT gayā hai
hawa kahin nam ko nahin thi
azan-e-maghrib se din ki paspa sipah ka dil dhaDak raha tha
tamam rangon ke imtiyazat miT chuke the
har ek shai ki siyah qaba thi
jagah jagah baam-o-dar ke paikar
ufuq ke rangin chaukhaTe mein
misal-e-taswir jam gae the
shajar hajar sab ke sab gireban mein sar jhukae
muhasba kar rahe the din bhar ke nek o bad ka
tawil qamat hazin khajuren
kaTi hui saaton ke matam mein
baal khole hue khaDi thin
nashemanon ko palaTte tair
kuchh aise tham tham ke uD rahe the
ki safha-e-asman pe goya
sarab-e-parwaz ban gae the
idhar mera dil
dhaDak dhaDak kar
ajib ibrat bhari nadamat se sochta tha
ki aaj ka din bhi kaT gaya hai
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 123)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.