muhasba
achchhā ḳhāsā ghar thā lekin ujaḌ gayā
vāldain ke intiqāl ke ba.ad
donoñ bhaa.ī apnī lāDlī aur iklautī
bahan kī shādī kar ke
mulk se bāhar chale ga.e
lāhorī ābā.ī makān meñ
sarf chachā sultān akele rahte the
jin kī ghanī nūrānī dāḌhī
ḳhauf-e-ḳhudā se hiltī rahtī thī
parvez italy meñ
dāñtoñ ke amrāz kā māhir ban ke rahā
ab us kī qismat kā sitāra
burj-e-sukūn meñ
jag-mag jag-mag chamak rahā thā
mumtāz espen meñ
jaa.ez aur nā-jā.ez chīzeñ
dar-āmad barāmad kar ke
rizq-e-halāl aur akl-e-harām kamātā thā
us ke jānñe vāloñ meñ
kuchh aise vaise log bhī shāmil the
magar apnī apnī pardesī duniyāoñ meñ
donoñ ārām se the
chhoTe ke paiham isrār
aur qartaba ġharnāta ke asrār
se haar ke
baḌā kashāñ kashāñ chalā aayā thā
saat baras meñ pahlī baar
vo saath saath chhuTTiyāñ guzār rahe the
nārāz aur mavvāj
pāniyoñ ke paḌos meñ
shor-sharābe vaalī
gunjān ābādī se
zarā haT kar
ek ḳhush-numā pahāḌī par
das biis makānāt hoñge
sab se achchhā mumtāz kā thā
ek roz vo sayyāhī se
thake thakā.e
raat ga.e ghar aa.e
apne lawn meñ
nekar pahne Taañg pasāre
paas paḌe mobile par
nazar jamā.e kaan lagā.e
visky piite rahe
chāñd nashe meñ thā
aur samundar se
pighlī chāñdī chhalak rahī thī
aisā tilismī manzar aur itnā āsmān
aahoñ ne kabhī na dekhā thā
lekin parvez ke daure kī
ek aur vaj.h bhī thī
tiis baras tak
do rūhoñ ke shab-ḳhānoñ meñ
ajab tarah kī pāgal nafrat paltī rahī
aur apnā zahr ugaltī rahī
vo badle kī aag meñ jalte
añgāroñ par chalte rahe
isī liye koī das din pahle
is sāzish ne janam liyā thā
aur mumtāz ne kisī purāne
kārobārī ''sāthī'' se
ḳhuun kā saudā kar Daalā thā
aaj usī kā sandesā aane vaalā thā
os utartī raat guzartī rahī
achānak mobile ne sargoshī kī
bheḌiyā halāl kar diyā gayā
sub.h savere telephone par
bahnoī ne bharrā.ī āvāz sunā.ī dii:
''rātoñ-rāt nā-mālūm afrād
chachā jaan kā galā kaaT ke
bhaag ga.e haiñ
aur police taftīsh vaġhaira''
ye māñ-jā.e ḳhush ho ke
betābī se gale mile
baḌī der tak guthe hue
apne diloñ kī dhak dhak sunte rahe
ik nāpāk darinde ne
apne ma.asūm bhatījoñ se
bad-kārī kā irtikāb kar ke
un kī psychi badal dī thī
achchha KHasa ghar tha lekin ujaD gaya
waldain ke intiqal ke baad
donon bhai apni laDli aur iklauti
bahan ki shadi kar ke
mulk se bahar chale gae
lahori aabai makan mein
sarf chacha sultan akele rahte the
jin ki ghani nurani daDhi
KHauf-e-KHuda se hilti rahti thi
parwez italy mein
danton ke amraaz ka mahir ban ke raha
ab us ki qismat ka sitara
burj-e-sukun mein
jag-mag jag-mag chamak raha tha
mumtaz espen mein
jaez aur na-jaez chizen
dar-amad baramad kar ke
rizq-e-halal aur akl-e-haram kamata tha
us ke jaanne walon mein
kuchh aise waise log bhi shamil the
magar apni apni pardesi duniyaon mein
donon aaram se the
chhoTe ke paiham israr
aur qartaba gharnata ke asrar
se haar ke
baDa kashan kashan chala aaya tha
sat baras mein pahli bar
wo sath sath chhuTTiyan guzar rahe the
naraaz aur mawwaj
paniyon ke paDos mein
shor-sharabe wali
gunjaan aabaadi se
zara haT kar
ek KHush-numa pahaDi par
das bis makanat honge
sab se achchha mumtaz ka tha
ek roz wo sayyahi se
thake thakae
raat gae ghar aae
apne lawn mein
nekar pahne Tang pasare
pas paDe mobile par
nazar jamae kan lagae
wisky pite rahe
chand nashe mein tha
aur samundar se
pighli chandi chhalak rahi thi
aisa tilismi manzar aur itna aasman
aahon ne kabhi na dekha tha
lekin parwez ke daure ki
ek aur wajh bhi thi
tis baras tak
do ruhon ke shab-KHanon mein
ajab tarah ki pagal nafrat palti rahi
aur apna zahr ugalti rahi
wo badle ki aag mein jalte
angaron par chalte rahe
isi liye koi das din pahle
is sazish ne janam liya tha
aur mumtaz ne kisi purane
karobari sathi se
KHun ka sauda kar Dala tha
aaj usi ka sandesa aane wala tha
os utarti raat guzarti rahi
achanak mobile ne sargoshi ki
bheDiya halal kar diya gaya
subh sawere telephone par
bahnoi ne bharrai aawaz sunai di:
raaton-raat na-malum afrad
chacha jaan ka gala kaT ke
bhag gae hain
aur police taftish waghaira
ye man-jae KHush ho ke
betabi se gale mile
baDi der tak guthe hue
apne dilon ki dhak dhak sunte rahe
ek napak darinde ne
apne masum bhatijon se
bad-kari ka irtikab kar ke
un ki psychi badal di thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.