muhaqqiq
ye jo ik hazrat chale aate haiñ goristān se
ye na samjheñ aap haiñ be-zār apnī jaan se
aap ko yūñhī hai āsār-e-qadīma se lagāv
jis tarah chūnā Dalī, katthe ko nisbat paan se
aap ko qabroñ se ulfat ishq vīrāne se hai
aap ghabrāte haiñ jīte-jāgte insān se
koī kitnā hī baḌā ho falsafī shā.er adiib
umr bhar is se rahā karte haiñ aap anjān se
haañ magar jaise hī pā jaatā hai be-chāra vafāt
aap us ko chāhne lagte haiñ jī se jaan se
sūñghte haiñ der tak marhūm kī ḳhāk-e-lahad
phir ye farmāte haiñ uTh kar ālimāna shaan se
tūl-o-arz-e-qabr se ye saaf chaltā hai patā
gorkan aa.e the atrāf-e-balochistan se
ye thā ik ruḳh sāhib-e-tahqīq kī tasvīr kā
dūsrā ruḳh bhī bayāñ kartā huuñ, suniye dhyān se
haiñ ba-zom-e-ḳhud muhaqqiq aap hindostān ke
aap ne nuqte gine haiñ 'mīr' ke dīvān ke
kāTte haiñ suut ko tahqīq ke itnā mahīn
aap ke aage jolāhe maat haiñ īrān ke
zer-e-tahqīq aap ke rahte haiñ ye sab mas.ale
kis qadar chūhe pale the ghar meñ 'momin'-ḳhān ke
pāñch baj kar pāñch par yā pāñch baj kar saat par
'dāġh' ne toḌā thā dam zaanū pe munnī-jān ke
'rind' ne ik bevafā ke ishq meñ khaa.ī thī jo
vo chhurī ke zaḳhm the yā ghaav the kirpān ke
dhun hai ye sābit kareñ, dillī thā 'miltan' kā vatan
aur 'saudā' ke chachā butcher the inglistān ke
al-ġharaz rahtī hai roz o shab yahī bas ek fikr
koī gul-dasta utāreñ taaq se nisyān ke
ye jo ek hazrat chale aate hain goristan se
ye na samjhen aap hain be-zar apni jaan se
aap ko yunhi hai aasar-e-qadima se lagaw
jis tarah chuna Dali, katthe ko nisbat pan se
aap ko qabron se ulfat ishq virane se hai
aap ghabraate hain jite-jagte insan se
koi kitna hi baDa ho falsafi shaer adib
umr bhar is se raha karte hain aap anjaan se
han magar jaise hi pa jata hai be-chaara wafat
aap us ko chahne lagte hain ji se jaan se
sunghte hain der tak marhum ki KHak-e-lahad
phir ye farmate hain uTh kar aalimana shan se
tul-o-arz-e-qabr se ye saf chalta hai pata
gorkan aae the atraf-e-balochistan se
ye tha ek ruKH sahib-e-tahqiq ki taswir ka
dusra ruKH bhi bayan karta hun, suniye dhyan se
hain ba-zom-e-KHud muhaqqiq aap hindostan ke
aap ne nuqte gine hain 'mir' ke diwan ke
kaTte hain sut ko tahqiq ke itna mahin
aap ke aage jolahe mat hain iran ke
zer-e-tahqiq aap ke rahte hain ye sab masale
kis qadar chuhe pale the ghar mein 'momin'-KHan ke
panch baj kar panch par ya panch baj kar sat par
'dagh' ne toDa tha dam zanu pe munni-jaan ke
'rind' ne ek bewafa ke ishq mein khai thi jo
wo chhuri ke zaKHm the ya ghaw the kirpan ke
dhun hai ye sabit karen, dilli tha 'miltan' ka watan
aur 'sauda' ke chacha butcher the inglistan ke
al-gharaz rahti hai roz o shab yahi bas ek fikr
koi gul-dasta utaren taq se nisyan ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.