mujassama
maiñ ek patthar
maiñ ek be-jān sard patthar
jumūd-e-begāñgī kā maz.har
azal se hadd-e-nazar ko taktī huī nigāheñ
ḳhalā meñ laTkī huī ye bāheñ
zamīñ mujhe saath le ke dushvār manzileñ lākhoñ ghuum aa.ī
karoḌoñ rāhoñ ko chuum aa.ī
falak ke sāhir ne kitne afsūn mujh pe phūñke
mire pas-o-pesh TimTimāte diye jalā.e
dhueñ ke gahre hisār bāñdhe
ḳhudā-e-mausam ne harba-hā-e-bahār se mujh ko āzmāyā
ḳhizāñ kī saffāk uñgliyoñ kā hadaf banāyā
magar mirī be-hisī ne har ek hamla-āvar kā sar jhukāyā
isī guzargāh par huuñ istāda aur shāyad yahīñ rahūñgā
jahāñ se guzre dhaḌakte lamhoñ ke kārvāñ
dhīme sur meñ gaate
hayāt-e-nā-pā.edār ke marsiye sunāte
mire badan kī amiiq sardī ko sard se sard-tar banāte
maiñ kitnī sadiyoñ se sochtā huuñ
ki koī jumbish
zarā sī larzish
agar mirī munjamid ragoñ meñ ḳhudī kī dhīmī sī aañch bhar de
ye aañch lahrā ke kyā na kar de!
main ek patthar
main ek be-jaan sard patthar
jumud-e-begangi ka mazhar
azal se hadd-e-nazar ko takti hui nigahen
KHala mein laTki hui ye bahen
zamin mujhe sath le ke dushwar manzilen lakhon ghum aai
karoDon rahon ko chum aai
falak ke sahir ne kitne afsun mujh pe phunke
mere pas-o-pesh TimTimate diye jalae
dhuen ke gahre hisar bandhe
KHuda-e-mausam ne harba-ha-e-bahaar se mujh ko aazmaya
KHizan ki saffak ungliyon ka hadaf banaya
magar meri be-hisi ne har ek hamla-awar ka sar jhukaya
isi guzargah par hun istada aur shayad yahin rahunga
jahan se guzre dhaDakte lamhon ke karwan
dhime sur mein gate
hayat-e-na-paedar ke marsiye sunate
mere badan ki amiq sardi ko sard se sard-tar banate
main kitni sadiyon se sochta hun
ki koi jumbish
zara si larzish
agar meri munjamid ragon mein KHudi ki dhimi si aanch bhar de
ye aanch lahra ke kya na kar de!
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.