mujh jaisa
dhund boltī hai
ek tavīl be-zār-kun ḳhāmoshī meñ
ḳhāmoshī jo nahīñ dekh saktī
us paar jahāñ kuchh hai
us dhund ke rishte se har koī
vahāñ jaanā chāhtā hai
koī laḌkī
yā us ke rishte se koī aur
jo haath thaam kar le jaa.e
dhund ke lā-mutanāhī silsiloñ ke paar
vo dhund jis ke pīchhe ḳhuun kā dariyā bahtā hai
vo jis ke pīchhe sannāToñ meñ ghirī shab meñ
koī sisaktā hai
aur vo jahāñ koī fankār
ḳhud par taarī be-zārī se martā hai
ho saktā hai
dhund ke paar dhund kī shakl vāzeh ho
aur lafz vajūd rakhtā ho
āvāz meñ lahak ho
ho saktā hai
kisī ham-shakl se mulāqāt ho jaa.e
dhund bolti hai
ek tawil be-zar-kun KHamoshi mein
KHamoshi jo nahin dekh sakti
us par jahan kuchh hai
us dhund ke rishte se har koi
wahan jaana chahta hai
koi laDki
ya us ke rishte se koi aur
jo hath tham kar le jae
dhund ke la-mutanahi silsilon ke par
wo dhund jis ke pichhe KHun ka dariya bahta hai
wo jis ke pichhe sannaTon mein ghiri shab mein
koi sisakta hai
aur wo jahan koi fankar
KHud par tari be-zari se marta hai
ho sakta hai
dhund ke par dhund ki shakl wazeh ho
aur lafz wajud rakhta ho
aawaz mein lahak ho
ho sakta hai
kisi ham-shakl se mulaqat ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.