mujhe aawaz mat dena
mujhe aisī zamīnoñ se
kabhī āvāz mat denā
jahāñ par ḳhvāb saare
TuuT jaate haiñ
jahāñ ke log
hāthoñ kī lakīroñ se
siyāhī dho nahīñ sakte
jahāñ ke āsmānoñ meñ
kahīñ sūraj nahīñ hotā
koī rasta nahīñ miltā
ghane tārīk
jangal se nikalne kā
mujhe aisī zamīnoñ se
kabhī āvāz mat denā
havā ho yā ki paanī ho
sadā ho yā ki saaya ho
mujhe us paar jaanā hai
ki sūraj ko bulānā hai
mujhe aisi zaminon se
kabhi aawaz mat dena
jahan par KHwab sare
TuT jate hain
jahan ke log
hathon ki lakiron se
siyahi dho nahin sakte
jahan ke aasmanon mein
kahin suraj nahin hota
koi rasta nahin milta
ghane tarik
jangal se nikalne ka
mujhe aisi zaminon se
kabhi aawaz mat dena
hawa ho ya ki pani ho
sada ho ya ki saya ho
mujhe us par jaana hai
ki suraj ko bulana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.