mujhe aazad hona hai
maiñ apnī zaat ke zindān meñ kab tak rahūñ tanhā
sahūñ tanhā maiñ apne aap ko kab tak
bhalā kab tak
udāsī aur tanhā.ī ke in be-zā.iqa zaḳhmoñ ko
paiham chāTtā jā.ūñ
musalsal jāgtā jā.ūñ
ki habs-e-mustaqil meñ zindagī karne se behtar hai
maiñ apne ḳhol se bāhar nikal aa.uuñ
kisī ḳhud-kush dhamāka karne vaale se lipaT jā.ūñ
bikhar jā.ūñ
mire apne bhī to kuchh ḳhvāb haiñ 'jāzil'
jo merī niiñd kī vaadī meñ aane kī tamannā
dil meñ rakhte haiñ
jo merī raah takte haiñ
mujhe ḳhvāboñ ko āñkhoñ meñ pironā hai
mujhe āzād honā hai
main apni zat ke zindan mein kab tak rahun tanha
sahun tanha main apne aap ko kab tak
bhala kab tak
udasi aur tanhai ke in be-zaiqa zaKHmon ko
paiham chaTta jaun
musalsal jagta jaun
ki habs-e-mustaqil mein zindagi karne se behtar hai
main apne KHol se bahar nikal aaun
kisi KHud-kush dhamaka karne wale se lipaT jaun
bikhar jaun
mere apne bhi to kuchh KHwab hain 'jazil'
jo meri nind ki wadi mein aane ki tamanna
dil mein rakhte hain
jo meri rah takte hain
mujhe KHwabon ko aankhon mein pirona hai
mujhe aazad hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.