mujhe achchha lagta hai
mujhe achchhe lagte haiñ
bādal jab vo baraste haiñ
aur āñkheñ jin meñ koī bhī baserā kar saktā hai
bakriyāñ aur bachche
jo saḌak paar kar jaate haiñ
aur nahīñ dekh paate us āhanī haath ko
jo un ke ta.āqub meñ dauḌā chalā aatā hai
mujhe achchhe lagte haiñ
Dākiye ke qadam aur insomniyā kī chaa.e
aur bujhī battī kā motor cycle
jo ishāra kāTte hue
raat meñ rāsta banātā guzar jaatā hai
bāġhī niiñd daraḳht aur ḳhvāb
jo is bedārī ke mausam meñ kahīñ dikhā.ī nahīñ dete
mujhe achchhe lagte haiñ
farāġhat aur dukh se bhare din
aur rāteñ jab duur duur tak bārish hotī hai
aur ābā.ī makānoñ kī vo shaam
jab bahnoñ ko ruḳhsat kiyā jaatā hai
pahāḌ ke paar ke añdhiyāre kī jānib
aañsū aur dhuñd jin meñ saaf dekhā jā saktā hai
aur dil jinheñ nishāna banāyā jaatā hai
aur miTTī jis kī jānib hameñ lauTnā hai
mujhe achchhe lagte haiñ
darīche jin se havā guzartī hai
darvāze jo kabhī band nahīñ hote
aur dost jin ke kandhoñ par hamesha haath rakhā jā saktā hai
aur tum
lapakte hue hāthoñ aur duniyā ke darmiyān
kyā kuchh maujūd hai
mujhe achchhe lagte hain
baadal jab wo baraste hain
aur aankhen jin mein koi bhi basera kar sakta hai
bakriyan aur bachche
jo saDak par kar jate hain
aur nahin dekh pate us aahani hath ko
jo un ke taaqub mein dauDa chala aata hai
mujhe achchhe lagte hain
Dakiye ke qadam aur insomniya ki chae
aur bujhi batti ka motor cycle
jo ishaara kaTte hue
raat mein rasta banata guzar jata hai
baghi nind daraKHt aur KHwab
jo is bedari ke mausam mein kahin dikhai nahin dete
mujhe achchhe lagte hain
faraghat aur dukh se bhare din
aur raaten jab dur dur tak barish hoti hai
aur aabai makanon ki wo sham
jab bahnon ko ruKHsat kiya jata hai
pahaD ke par ke andhiyare ki jaanib
aansu aur dhund jin mein saf dekha ja sakta hai
aur dil jinhen nishana banaya jata hai
aur miTTi jis ki jaanib hamein lauTna hai
mujhe achchhe lagte hain
dariche jin se hawa guzarti hai
darwaze jo kabhi band nahin hote
aur dost jin ke kandhon par hamesha hath rakha ja sakta hai
aur tum
lapakte hue hathon aur duniya ke darmiyan
kya kuchh maujud hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.