mujhe apna jalwa dikha
sitāre
mujhe apnā jalva dikhā
vaqt ke kis ḳhalā meñ
mazāhir kī kis kahkashāñ meñ
zamāne ke kis dubb-e-akbar meñ
terā Thikāna hai
lākhoñ baras se
tujhe dekhne kī talab meñ
jūñhī shaam Dhaltī hai
maiñ ḳhud-ba-ḳhud khiñchtā aatā huuñ
is ġhār-e-shab meñ!
ajab ġhaar hai
ek bāzār hai
sail-e-lam.āt kā
aa.ine nasb haiñ
rañg uḌte haiñ
shīshoñ ke pīchhe
chamakdār chīzoñ kā ambār hai
reshmīñ thaan khulte haiñ
ek ek kar ke
tahoñ par taheñ
lagtī jaatī haiñ
muqayyash, fardār kapḌoñ kī
ā.ankhoñ meñ
chobī munaqqash chhatoñ se
umañDtī huī raushnī
jhilmilātī hai
lahroñ kī sūrat
zarī jhālaroñ par
mutallā lakīroñ pe
chāñdī ke pannoñ pe
silkī mahīn aur ghane hāshiyoñ par
sitāre damakte haiñ
mavvāj jaalī se
āvāz aatī hai
dekheñ jī
bāzār meñ is se baḌh kar murassā
koī aur kapḌā nahīñ hai
ise jo bhī pahnegā
bilkul sitāra lagegā
sitāre ke mānind chamkegā
kyā maiñ tujhe dekh pā.ūñgā
is lan-tarānī ke gumbad meñ
merī sadā gūñjtī hī rahegī
na jaane tujhe kis ke malbūs par
ḳhvāb kī nok-e-sozan se
Tāñkā gayā hai!!
sitare
mujhe apna jalwa dikha
waqt ke kis KHala mein
mazahir ki kis kahkashan mein
zamane ke kis dubb-e-akbar mein
tera Thikana hai
lakhon baras se
tujhe dekhne ki talab mein
junhi sham Dhalti hai
main KHud-ba-KHud khinchta aata hun
is ghaar-e-shab mein!
ajab ghaar hai
ek bazar hai
sail-e-lamat ka
aaine nasb hain
rang uDte hain
shishon ke pichhe
chamakdar chizon ka ambar hai
reshmin than khulte hain
ek ek kar ke
tahon par tahen
lagti jati hain
muqayyash, fardar kapDon ki
aaankhon mein
chobi munaqqash chhaton se
umanDti hui raushni
jhilmilati hai
lahron ki surat
zari jhaalaron par
mutalla lakiron pe
chandi ke pannon pe
silki mahin aur ghane hashiyon par
sitare damakte hain
mawwaj jali se
aawaz aati hai
dekhen ji
bazar mein is se baDh kar murassa
koi aur kapDa nahin hai
ise jo bhi pahnega
bilkul sitara lagega
sitare ke manind chamkega
kya main tujhe dekh paunga
is lan-tarani ke gumbad mein
meri sada gunjti hi rahegi
na jaane tujhe kis ke malbus par
KHwab ki nok-e-sozan se
Tanka gaya hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.