mujhe apne jine ka haq chahiye
mujhe apne jiine kā haq chāhiye
zamīñ jis pe mere qadam Tik sakeñ
aur tāroñ bharā kuchh falak chāhiye
mujhe apne jiine kā haq chāhiye
ne.amateñ jo mere rab ne dhartī ko diiñ
saaf paanī havā bārisheñ chāñdnī
ye to har ibn-e-ādam kī jāgīr haiñ
ye hamārī tumhārī kisī kī nahīñ
mujh ko ta.alīm sehat aur ummīd kī
saat rañgoñ bharī ik dhanak chāhiye
mujhe apne jiine kā haq chāhiye
na havā saaf hai na fazā saaf hai
vo jo āb-e-baqā thā vo nā-sāf hai
zamīñ ho samundar ho yā āsmāñ
ik zarā sochiye ab ki kyā saaf hai
maut se pur-ḳhatar hai ye ālūdgī
dosto dil meñ thoḌī kasak chāhiye
mujhe apne jiine kā haq chāhiye
mujhe apne jine ka haq chahiye
zamin jis pe mere qadam Tik saken
aur taron bhara kuchh falak chahiye
mujhe apne jine ka haq chahiye
neamaten jo mere rab ne dharti ko din
saf pani hawa barishen chandni
ye to har ibn-e-adam ki jagir hain
ye hamari tumhaari kisi ki nahin
mujh ko talim sehat aur ummid ki
sat rangon bhari ek dhanak chahiye
mujhe apne jine ka haq chahiye
na hawa saf hai na faza saf hai
wo jo aab-e-baqa tha wo na-saf hai
zamin ho samundar ho ya aasman
ek zara sochiye ab ki kya saf hai
maut se pur-KHatar hai ye aaludgi
dosto dil mein thoDi kasak chahiye
mujhe apne jine ka haq chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.