mujhe bārish se kahne do javāñ jazboñ meñ bahne do
ki jab bārish barastī hai havā.eñ sard chaltī haiñ
mujhe vo yaad aate haiñ
mire aañsū bahāte haiñ
mujhe bārish se kahne do
javāñ jazboñ meñ bahne do
mujhe vo raat kā manzar
abhī tak yaad hai sāhab
khulī chhat par tumhāre sañg rah kar bhiig jaanā bhī
mujhe bārish se kahne do
javāñ jazboñ meñ bahne do
tumhārī bāñhoñ kī narmī bhī
tumhārī sāñsoñ kī garmī bhī
mujhe jab yaad aatī hai
bahut aañsū rulātī hai
mujhe bārish se kahne do
ki tum tanhā nahīñ aanā
mirā mahbūb bhī laanā
maiñ us ke saath khelī huuñ
binā us ke akelī huuñ
javāñ jazboñ meñ bahne do
mujhe bārish se kahne do
mujhe barish se kahne do jawan jazbon mein bahne do
ki jab barish barasti hai hawaen sard chalti hain
mujhe wo yaad aate hain
mere aansu bahate hain
mujhe barish se kahne do
jawan jazbon mein bahne do
mujhe wo raat ka manzar
abhi tak yaad hai sahab
khuli chhat par tumhaare sang rah kar bhig jaana bhi
mujhe barish se kahne do
jawan jazbon mein bahne do
tumhaari banhon ki narmi bhi
tumhaari sanson ki garmi bhi
mujhe jab yaad aati hai
bahut aansu rulati hai
mujhe barish se kahne do
ki tum tanha nahin aana
mera mahbub bhi lana
main us ke sath kheli hun
bina us ke akeli hun
jawan jazbon mein bahne do
mujhe barish se kahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.