mujhe bhi likhna
kabhī mohabbat pe nazm ho to
mujhe bhī likhnā
tum apnī āñkhoñ ke rāste pe
palak kināre
koī bhī jugnū sā ḳhvāb dekho kitāb dekho
aur us meñ kuchh ujle ujle logoñ ke baab dekho
to jaan lenā ye maiñ nahīñ huuñ
mujhe guzarnā hai baab hone kitāb hone ke marhaloñ se
tum apnī poroñ mujhe TaTolo to baab Thahrūñ
pahāḌiyoñ ke buland zīnoñ se chāñd takte
jo mujh ko socho to ḳhvāb Thahrūñ
samā'atoñ se varā jo alfāz haiñ sabhī ko
tum apne hāthoñ se mere hāthoñ pe gar likho to kitāb Thahrūñ
mohabbatoñ kā nisāb Thahrūñ
kabhī mohabbat pe nazm ho to
mujhe bhī likhnā
kabhī mohabbat pe nazm ho to
mujhe bhī likhnā
kabhi mohabbat pe nazm ho to
mujhe bhi likhna
tum apni aankhon ke raste pe
palak kinare
koi bhi jugnu sa KHwab dekho kitab dekho
aur us mein kuchh ujle ujle logon ke bab dekho
to jaan lena ye main nahin hun
mujhe guzarna hai bab hone kitab hone ke marhalon se
tum apni poron mujhe TaTolo to bab Thahrun
pahaDiyon ke buland zinon se chand takte
jo mujh ko socho to KHwab Thahrun
sama'aton se wara jo alfaz hain sabhi ko
tum apne hathon se mere hathon pe gar likho to kitab Thahrun
mohabbaton ka nisab Thahrun
kabhi mohabbat pe nazm ho to
mujhe bhi likhna
kabhi mohabbat pe nazm ho to
mujhe bhi likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.