mujhe bhul ja
mire sāqiyā mujhe bhuul jā
mire dilrubā mujhe bhuul jā
na vo dil rahā na vo jī rahā
na vo daur-e-aish-o-ḳhushī rahā
na vo rabt-o-zabt-e-dilī rahā
na vo auj-e-tishna-labī rahā
na vo zauq-e-bāda-kashī rahā
maiñ alam-navāz huuñ āj-kal
maiñ shikasta-sāz huuñ āj-kal
maiñ sarāpā raaz huuñ āj-kal
mujhe ab ḳhayāl meñ bhī na milā
mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
mujhe zindagī se azīz-tar
faqat ek terī hī zaat thī
tirī har nigāh mire liye
sabab-e-sukūn-e-hayāt thī
mirī dāstān-e-vafā kabhī
tirī sharh-e-husn-e-sifāt thī
magar ab to rañg hī aur hai
na vo tarz hai na vo taur hai
ye sitam bhī qābil-e-ġhaur hai
tujhe apne husn kā vāsta
mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
qasam iztirāb-e-hayāt kī
mujhe ḳhāmushī meñ qarār hai
mire sahn-e-gulshan-e-ishq meñ
na ḳhizāñ hai ab na bahār hai
yahī dil thā raunaq-e-anjuman
yahī dil charāġh-e-mazār hai
mujhe ab sukūn-e-digar na de
mujhe ab naved-e-sahar na de
mujhe ab fareb-e-nazar na de
na ho vahm-e-ishq meñ mubtalā
mujhe bhuul jā mujhe bhuul jā
mere saqiya mujhe bhul ja
mere dilruba mujhe bhul ja
na wo dil raha na wo ji raha
na wo daur-e-aish-o-KHushi raha
na wo rabt-o-zabt-e-dili raha
na wo auj-e-tishna-labi raha
na wo zauq-e-baada-kashi raha
main alam-nawaz hun aaj-kal
main shikasta-saz hun aaj-kal
main sarapa raaz hun aaj-kal
mujhe ab KHayal mein bhi na mila
mujhe bhul ja mujhe bhul ja
mujhe zindagi se aziz-tar
faqat ek teri hi zat thi
teri har nigah mere liye
sabab-e-sukun-e-hayat thi
meri dastan-e-wafa kabhi
teri sharh-e-husn-e-sifat thi
magar ab to rang hi aur hai
na wo tarz hai na wo taur hai
ye sitam bhi qabil-e-ghaur hai
tujhe apne husn ka wasta
mujhe bhul ja mujhe bhul ja
qasam iztirab-e-hayat ki
mujhe KHamushi mein qarar hai
mere sahn-e-gulshan-e-ishq mein
na KHizan hai ab na bahaar hai
yahi dil tha raunaq-e-anjuman
yahi dil charagh-e-mazar hai
mujhe ab sukun-e-digar na de
mujhe ab nawed-e-sahar na de
mujhe ab fareb-e-nazar na de
na ho wahm-e-ishq mein mubtala
mujhe bhul ja mujhe bhul ja
- Book : Kulliyat Shakeel (Pg. 322)
- Publication : Fareed Book Depot Pvt. Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.