mujhe Dar lagta hai
aao ham aaj hī khul kar roleñ
jaane kab vaqt mile
aañkh meñ jitne bhare haiñ aañsū
aao ham aaj bahā deñ un ko
ghaat meñ umr bhī hai
vaqt bhī raftār bhī hai
kaun jaane ki mileñ rāste kab manzil se
kaun jaane ki rahā hoñge safar se kab tak
kaun jaane yahāñ kis rut kī ridā se utreñ
phuul jin meñ tirī mahkār na ho
kaun ye jaan sake tere hurūf
mere hoñToñ se kahāñ TuuT gireñ
shahr-e-ā.inda ke but-ḳhāne meñ
kyā pata ik tirī tasvīr na ho
yuuñ to ab kyā hai jo khonā hai mujhe
ab to bas chain se sonā hai mujhe
aao hum aaj hi khul kar rolen
jaane kab waqt mile
aankh mein jitne bhare hain aansu
aao hum aaj baha den un ko
ghat mein umr bhi hai
waqt bhi raftar bhi hai
kaun jaane ki milen raste kab manzil se
kaun jaane ki raha honge safar se kab tak
kaun jaane yahan kis rut ki rida se utren
phul jin mein teri mahkar na ho
kaun ye jaan sake tere huruf
mere honTon se kahan TuT giren
shahr-e-ainda ke but-KHane mein
kya pata ek teri taswir na ho
yun to ab kya hai jo khona hai mujhe
ab to bas chain se sona hai mujhe
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 135)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.