mujhe DhunDna baDa aasan hai
maiñ jaltā rahtā huuñ
do hissoñ meñ
maiñ jiine kī koshish nahīñ kartā
log mujhe jiinā chāhte haiñ
yūñhī bikhre vajūdoñ meñ
vo mujhe chun chun kar oḌh lete haiñ
bhūke peToñ be-hayāt poroñ meñ
koī lafz nahīñ hotā
jaane kyoñ maiñ un kī zabān kī gaalī ban jaatā huuñ
maiñ nang-e-nafas meñ uThtā huuñ
baiThtā huuñ
koī ġhair-mar.ī quvvat
mujhe apne tabqe se chipkā.e rakhtī hai
jab kabhī maiñ ḳhud ko
un se
alag karnā chāhtā huuñ
hamesha kī tarah darvāze ke bāhar rah jaatā huuñ
mujhe DhūñDhnā baḌā āsān hai
mujhe DhūñDne ke liye
har hukmrān apnī luġhat rakhtā hai
main jalta rahta hun
do hisson mein
main jine ki koshish nahin karta
log mujhe jina chahte hain
yunhi bikhre wajudon mein
wo mujhe chun chun kar oDh lete hain
bhuke peTon be-hayat poron mein
koi lafz nahin hota
jaane kyon main un ki zaban ki gali ban jata hun
main nang-e-nafas mein uThta hun
baiThta hun
koi ghair-mari quwwat
mujhe apne tabqe se chipkae rakhti hai
jab kabhi main KHud ko
un se
alag karna chahta hun
hamesha ki tarah darwaze ke bahar rah jata hun
mujhe DhunDhna baDa aasan hai
mujhe DhunDne ke liye
har hukmran apni lughat rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.