mujhe har kaam se pahle
sahar se shaam se pahle
yahī ik kaam karnā hai
tumhārā naam lenā hai
tumhī ko yaad karnā hai
ki jab bhī dard piinā hai
ki jab bhī zaḳhm siinā hai
ġham-e-duniyā se ghabrā kar
mujhe jab jaam lenā hai
tumhārā naam lenā hai
tumhī ko yaad karnā hai
tumhārī yaad hai dil meñ
ki ik sayyād hai dil meñ
koī barbād hai dil meñ
use ābād karnā hai
tumhārā naam lenā hai
tumhī ko yaad karnā hai
mujhe har kaam se pahle
sahar se sham se pahle
yahi ek kaam karna hai
tumhaara nam lena hai
tumhi ko yaad karna hai
ki jab bhi dard pina hai
ki jab bhi zaKHm sina hai
gham-e-duniya se ghabra kar
mujhe jab jam lena hai
tumhaara nam lena hai
tumhi ko yaad karna hai
tumhaari yaad hai dil mein
ki ek sayyaad hai dil mein
koi barbaad hai dil mein
use aabaad karna hai
tumhaara nam lena hai
tumhi ko yaad karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.