mujhe kahin aur jaane do
maiñ tumhārā dushman huuñ
maiñ tumhāre jism kā jarsūma huuñ
lekin tumhārī maut aa chukī hai
aur maiñ zinda rahnā chāhtā huuñ
maiñ apne ḳhūñrez panjoñ se
tumhāre chamḌe ko kaaT dūñgā
maiñ phir niklūñgā
maiñ ḳhuun huuñ
aur ḳhuun ko maut nahīñ aatī
qānūn kī rassiyoñ se
tum ne jo jhūlā tayyār kiyā hai
us ke bosīda hone par
tumheñ ghabrāhaT hai
lekin maiñ sirf itnā chāhtā huuñ
ki mujhe kahīñ aur jaane do
merī zindagī tum se alag hai
maiñ nikalnā chāhtā huuñ
ḳhūbsūrat dukānoñ meñ qīmtī sāmān haiñ
aur qīmtī sāmānoñ meñ merī zindagī hai
aur merī zindagī mujh se duur hai
mujhe us ke qarīb jaane do
merī ruuh un chīzoñ meñ hai
aur mujhe aisā lag rahā hai jaise maiñ ḳhvāb dekh rahā huuñ
mujhe kab tak ḳhvāb dekhnā paḌegā
mujhe ḳhvāboñ ko apne hāthoñ meñ lene do
merī āvāz bahut maddham hai
aur īñToñ ko surḳh gard ban kar jhaḌte hue tum ne dekhā hogā
vaqt āvāz hī kā dūsrā naam hai
aur merī aañkh maddham nahīñ bahut tez hai
maiñ āhista rūhoñ
lekin
qadīm pattharoñ kī kahānī paḌho
nāchnā bhuul jāoge
sirf jhūmne meñ ajiib kaifiyat hai
ye aadmī ko bahut andar le kar chalī jaatī hai
aur phir havāoñ kī āvāz
chīzoñ ke liye vaqt ban jaatī hai
ki vaqt har chiiz ke badalne kā naam hai
bachchoñ kī tarah shor mat machāo
madārī vaale ko Damrū bajāne do
aur bachchoñ ko ḳhush hone do
aur aao
ham tum museum meñ chaleñ
vahīñ bāteñ kareñge
guzre vaqtoñ kī bāteñ
aane vaale daur kī bāteñ
vahāñ ḳhāmoshī hogī
ki bhiiḌ to bāzāroñ meñ chalī ga.ī hogī
is haul-nāk sannāTe vaalī jagah se kisī ko kyā dilchaspī hai
us ke sivā jo chīzoñ ke raaz jānñā chāhtā hai
tum mere saath aao
dekho ye museum ye tāj-mahal ye jāma.a masjid
ye vaishālī
ye ashok kā agam kuaañ
ye budh kā mujassama
aur ye aurangzeb kī bujhtī huī talvār
aur ye vo jahāz
jis se angrez bangāl meñ utre the
aur ye ek insān ke qadmoñ kā nishān
kitnā haqīr
kitnā chhoTā
aur aur ye kahāñ kho gayā hai
kahīñ aur gayā hogā
in qadmoñ ne kisī aur safar kā rāsta hamvār kiyā hogā
main tumhaara dushman hun
main tumhaare jism ka jarsuma hun
lekin tumhaari maut aa chuki hai
aur main zinda rahna chahta hun
main apne KHunrez panjon se
tumhaare chamDe ko kaT dunga
main phir niklunga
main KHun hun
aur KHun ko maut nahin aati
qanun ki rassiyon se
tum ne jo jhula tayyar kiya hai
us ke bosida hone par
tumhein ghabrahaT hai
lekin main sirf itna chahta hun
ki mujhe kahin aur jaane do
meri zindagi tum se alag hai
main nikalna chahta hun
KHubsurat dukanon mein qimti saman hain
aur qimti samanon mein meri zindagi hai
aur meri zindagi mujh se dur hai
mujhe us ke qarib jaane do
meri ruh un chizon mein hai
aur mujhe aisa lag raha hai jaise main KHwab dekh raha hun
mujhe kab tak KHwab dekhna paDega
mujhe KHwabon ko apne hathon mein lene do
meri aawaz bahut maddham hai
aur inTon ko surKH gard ban kar jhaDte hue tum ne dekha hoga
waqt aawaz hi ka dusra nam hai
aur meri aankh maddham nahin bahut tez hai
main aahista ruhon
lekin
qadim pattharon ki kahani paDho
nachna bhul jaoge
sirf jhumne mein ajib kaifiyat hai
ye aadmi ko bahut andar le kar chali jati hai
aur phir hawaon ki aawaz
chizon ke liye waqt ban jati hai
ki waqt har chiz ke badalne ka nam hai
bachchon ki tarah shor mat machao
madari wale ko Damru bajaane do
aur bachchon ko KHush hone do
aur aao
hum tum museum mein chalen
wahin baaten karenge
guzre waqton ki baaten
aane wale daur ki baaten
wahan KHamoshi hogi
ki bhiD to bazaron mein chali gai hogi
is haul-nak sannaTe wali jagah se kisi ko kya dilchaspi hai
us ke siwa jo chizon ke raaz jaanna chahta hai
tum mere sath aao
dekho ye museum ye taj-mahal ye jama masjid
ye waishaali
ye ashok ka agam kuan
ye budh ka mujassama
aur ye aurangzeb ki bujhti hui talwar
aur ye wo jahaz
jis se angrez bangal mein utre the
aur ye ek insan ke qadmon ka nishan
kitna haqir
kitna chhoTa
aur aur ye kahan kho gaya hai
kahin aur gaya hoga
in qadmon ne kisi aur safar ka rasta hamwar kiya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.